Sad Shayari

Zindagi Nisaar Shayari

Aa Bhi Jao Mausam E Bahar Hai Usey Kehna
Humein Uska Intezar Hai Usey Kehna

Zindgi Mein Qadam-Qadam Pe Imtehan Hain
Rasta Bada Dashwaar Hai Usey Kehna

Khushiyan Kam Hain Beshumaar Ghum Hain
Unki Lambi Qataar Hai Usey Kehna

Dard E Hijhr Ko Ashaar Mein Prona
Ab Yehi Karobaar Hai Usey Kehna

Asghr Ko Kabhi Azma Kar Dekh Lena
Yeh Zindagi Us Pe Nisaar Hai Usey Kehna…

– M.Asghar Mirpuri

Heart Touching Sad Shayari on Love

Love Letters

Tum Ko Zamaney Me Kaha Aisi Ab Chahat Milegi
Na Aansu, Na Gam, Na Shiddat Milegi
Dil Tod Kr Mera Yuu, Fir Tumko Bhi Kaha Rahat Milegi

Guzarish Hai Tum Se Yuu Berukhi Na Dikhaiye
Is Dour-E Bewaafi Me Kaha Koi Aisi Deewaangi Milegi

Mere Haatho Se Khaai Huye Nivaalo Ki Jaisi Fir Khushi Kaha Milegi
Lafzo Me Hai Bohat Dard Chupa Hua Mere
Tum Ko Khoney Ki Itni Takleef Kisi Or Ke Dil Me Fir Na Milegi

Thaam Lo Daaman Hamara, Jo Ruthey Hum Ek Baar
Fir Na Mohabbat Ki Hmaari Koi Aaahat Milegi

Jee Lengey Hum Bhi Kahi Kisi Andhero Me
Ye Zindagi Jo Is Dafaa Juda Huye Toh Fir

Sukhey Huye Gulaabo Ki Tarah Ab Humaari Mohabbat
Bas Yu Kitaabo Me Milegi

– Ukaab

Besahara Sad Shayari

Besahara Shayari

Humein To Zindagi Mein Bada Khsaara Mila Hai
Besahara Reh Gaye Koi Na Sahara Mila Hai

Wo Purani Yaadein Ek Bar Phir Laut Aayee
Subho Savere Jo Khat Tumhara Mila Hai

Duniya Mein Jis Se Bhi Hamara Dil Mila
Us Se Na Muqaddar Ka Sitara Mila Hai

Aaj Apne Dil Ki Kitab Jab Padhi
Uske Har Panne Pe Naam Tumhara Mila Hai

Bada Mushkil Hai Ishq Ka Samundar Paar Karna
Har Shanaawar Ko Na Yahan Kinara Mila Hai

– M.Asghar Mirpuri

Sad Shayari on Love and Life

Tanhaiyon Ke Saaye Mein Chain Kahaan
Aankh Khul Jaye To Fir Khwab Kahaan

Jee Jalaate Hain Subah Ke Thande Jhonke
Kho Gye Mohabbat Ke Voh Nazaare Kahaan

Ishq Ik Mushqil Imtehaan Tha Pehle
Ab Mohabbat Ke Voh Aadab Kahaan

Ab Kahaan Wafa Karne Wale Milte Hain
Us Pak Zamaane Jaise Insaan Kahaan

Ab To Khud Ki Dhadkan Se Bhi Darta Hai Dil
Ab Is Dil Mein Dilbar Ka Ghar Kahaan

Duniya Sunsaan Hai Kisi Registaan Ki Trah
Pehle Wali Voh Mehfilein Haseen Kahaan…

Tere Pehlu Mein Shayari

Tere Pehlu Mein Aakar,
Yun Khali Hath Hi Laut Jata Hun.

Kehne Ko To Tum Khuda Ho,
Per Jaane Kyon Mujhse Khafa Ho?

Meri Koi Dua, Kabhi Kabool Nahi Hoti,
Fir Bhi Chala Aata Hun, Tujhse Milne,
Magar Tumhe Kabhi Fursat Nahi Hoti…

– Rajeev Paul

Tere Pehlu Mein Shayari by Rajeev Paul

Mohabbat Mein Barbad Shayari

Mohabbat Mein Barbad Shayari
Mohabbat Mein Barbad Shayari

Zulfon Ko Jab Wo Sanwaare Nikle,
Din Pe Aasman Pe Sitaare Nikle,

Dil Ke Phool Khilne Hi Wale They,
Raqeeb Haton Me Lekar Aarey Nikle,

Un Ki Yaadon Ko Apne Sath Lekar,
Ghar Se Hum Hijhr Ke Maare Nikle,

Mohabbat To Tum Ne Bhi Ki Thi Jaanam,
Magar Ishq Mein Saare Jurm Humaare Nikle,

Unki Gali Mein Jane Ka Koi Bahana Na Tha,
Aaj Asghr Bhi Hathon Mein Lekar Gubaare Nikle…

– M.Asghar Mirpuri

Sachi Mohabbat Shayari

Sachi Mohabbat Shayari in Hindi and Urdu
Sachi Mohabbat Shayari

Ishq Ki Hadd Ki Haqiqat Bata Ke,
Muqaddar Mein Mere Zakhamo Ka Jahaan Basa Ke,

Mehroom Kar Gye Humari Mohabbat Ko ek Saajish Bata Ke,
Kiya Kya Gunah Humne, Sachi Mohabbat Farmaake,

Jo Chhod Gye Hume Yu Rula Ke,
Kyu Chhod Gye Humari Aankho Ko Aasuon Ka Dariya Bana Ke,

Kiya Kya Gunah Humne, Sachi Mohabbat Farmaake…

– Ak Falak Roy

Dil Ke Andar Veerana Shayari

Hum Kuch Aise Deewane Hain,
Jo Khud Se Begaane Hain,

Dastan-E-Laila Majnu Na Suna,
Yeh Qisse To Bade Purane Hain,

Logon Ke Labon Pe Ab,
Humaare Naam Ke Afsane Hain,

Duniya Ki Ronqein Raas Hain,
Dil Ke Andar Veerane Hain,

Mere Qatl Mein Jo Malawas They,
Wo Hath Asghr Ke Jane Pechane Hain…

– M.Asghar Mirpuri

Matlabi Pyaar Shayari SMS

Usey Pyar Kab Meri Zaat Se Tha
Usey To Matlab Apni Baat Se Tha

Aaj Wo Bhi Gumnaam Hai Zamaane Mein
Jo Mashoor Meri Chahat Se Tha

Wo Bhi Mufaadprasat Tha Auron Ki Tarah
Yeh To Zahir Uski Har Baat Se Tha

Suna Hai Us Ne Kisi Se Wafa Nahi Ki
Wo Khelta Har Kisi Ke Jazbat Se Tha

Bauht Choti Thi Sochien Uski
Jinka Talaq Unchi Zaat Se Tha

– M.Asghar Mirpuri

Bewafa Dard Shayari Sad

Bewafa Dard Shayari Sad

Udasi Se Dil Ka Nata Jod Diya Hai
Zindagi Ki Taraf Humne Rukh Mod Liya Hai

Yun Chonkati Nigaahon Se Na Dekh Bewafa
Tere Dard Ka Har Bandhan Tod Diya Hai

Bewafa Tu Nahi Tab Waqt Ho Gya Tha
Izhar Ka Faisla Sakhat Ho Gya Tha

Sannaton Se Darkar Hawayein Shor Karne Lagi
Is Tofaan Se Bebas Zubaan Ka Takht Ho Gya Tha

Kash Voh Lafz Tab Jehan Mein Hi Rehte
Kash Ik Dil Ke Veham Mein Hi Rehte

To Khilti Na Bahare Shayari Ki Fir Yaha
Ikraar Jo Man Ki Lagan Mein Hi Rehte…

– Gaurangi