Sad Shayari

Sad Shayari on Love

ज़िन्दगी ने कितना मजबूर कर दिया।
लोग मांगते है ज़िन्दगी और हमें मौत से भी दूर कर दिया।
क्यों इतना सितम किया हम पर।
अपने दिल से न जोड़ते तुम
गम नही था हमें।
पर तुमने अपनी नफ़रत से भी दूर कर दिया।


Sad Shayari on Love – On this page we have a great collection of Sad Shayari related to love from various authors which can make you feel so good. We’ve selected very rare and high quality Poetry in this collection.

Sad Shayari on Loneliness

Sad Shayari

Koi Na Tha Apna, Na Koi Ho Saka
Chaha Toh Bohat Par Hasil Na Kar Sakaa

Meri Zindagi Mei Ghamo Ka Ek Basera Hai
Jo Chaah Kar Muhje Kabhi Hassa Na Sakaa

Yeh Safar Hai Tanhaiyo Se Bhara Mera
Muhje Humsafar Mere Jaisa Na Mil Sakaa

Chaahane Wale Bohat The Humein
Mein Apne Sath Kisi Ko Le Jaa Na Sakaa

Yu Khwabon Ki Duniya Banaayi Maine
Main Un Khwabo Ko Haqikat Mein Badal Na Sakaa …

– Sarabjeet Singh Salyal

Sad Ghazal on Gham in Love

Sad Shayari

Woh Guzar Gya Hai Lamha Ab Yaad Baakii Hai
Hai Chahaton Mein Zinda Bss Ekk Khyal Baakii Hai

Mitt Chukii Sabii Hasratein Merii Tere Milne Ki
Raaton Mein Gum Kii Bss Ekk Khwab Baakii Hai

Naa Hu Main Tujhsey Ruswa Faqat Alfaaz Hai
Jo Rahii Adhurii Gham Kii Ghazal Aey Yaar Baakii Hai

Jala Dogey Main Janata Hu Tum Ye Khat Bhii Mera Akram
Kaisi Hai Pasehemania Kaisii Ye Aag Baakii Hai …

– Akram Khan

Badal Gaye Sad Shayari on Zindagi

Wahi Chamakta Chaand, Wahi Neela Aasma
Phir Bhi Nazaare Badal Gaye
Wahi Khamosh Raatein, Wahi Jag-Magaatey Sitaare
Phir Bhi Wo Mehfil Guzar Gayi

Wahi Lehrathi Hawa, Bharasti Ye Bharish,
Phir Bhi Wo Lamhe Nahi Rahey
Wahi Guzarthi Zindagi, Wahi Na Kathm Hone Wale Raastey,
Shayad Ab Hum, Hum Nahi Rahey,
Hum, Hum Nahi Rahey…

– Lekha

Love Shayari on Eid

Chale Bhi Aao Dost Ke Eid Aane Waali Hai
Tum Na Aaye To Asghar Ki Jaan Jaane Waali Hai

Tere Milne Ki Aas Pe Jiye Ja Raha Hoon Yara
Dekhta Hoon Kismat Kya Ruang Dikhane Waali Hai

Yeh Haseen Mausam Kahi Beet Na Jaaye
Chale Bhi Aao Ke Yeh Rutt Badal Jaane Waali Hai

Muqadar Ne Hamesha Rulaya Kismat Ne Sda Staya
Na Jaane Ab Taqdeer Kya Aur Sitam Dhaane Waali Hai

Tera Mera Pyar Sda Ke Liye Amar Rahega Jaanam
Baaki Iss Qainaat Ki Har Cheez Mit Jane Waali Hai …

– M.Asghar Mirpuri


Mujhey Teri Na Tujhey Meri Khabar Jaye Gi
Eid Ab Ke Bhi Dabey Paon Guzar Jaye Gi

Idhar Tumaari Judai Mein Hum Udaas Hongey
Udhar Eid Khushion Se Tera Daman Bhar Jaye Gi

Teri Yaad Aayegi Khusboo Ke Jhonke Ki Tarah
Wo Kar Ke Mohatar Mere Baam-O-Dar Jaye Gi

Jab Baad-E-Saba Aaye Gi Mujh Se Tera Sandes Lene
Mere Ghar Ki Veerani Dekh Kar Wo Dar Jaye Gi

Jab Tu Asghar Ke Rang Mein Rang Jaye Gi
Phir Yeh Judai Khud Apni Maut Mar Jaye Gi …

– M.Asghar Mirpuri

Dil Mein Yaadein Sad Shayari

Sad Shayari

Aaj Meri Jaan Chal Padi Hai Apne Safar Per
Meri Aankhon Mein Aansoo Dil Mein Yaadein Chhodkar

Kisi Waqt Is Jagah Wo Bethi Thi Mere Pass Mein
Aaj Bhi Ek Waqt Hai Jab Tanhai Hai Mere Sath Mein

Ab Zindgi Mein Bus Unka Hi Sahara Hai
Sadiyon Se Rakha Hai Khuda Ne Naam Intzaar-E-Alam Hamara Hai

Seene Dhadakta Hai Ye Dil
Is Per Naam Likha Tumara Hai

Khabar Chhapi Hai In Dino, “Ek Pagal Premi”,
Zara Gaur Se Dekho Wo Ishtehar Hamara Hai…

– Vishal Chandra Fulara

Very Sad Hindi Shayari on Love

Dil Letter

बिछड गया …
बिछड गया कोई हमसे अपना

करीबी वक्त की मार में
कोई हो गया अंजान हमसे
किसमत की इस चाल में

टूट कर बिखर गये अरमान मेरे
इस कदर
फिर टूट गया मेरे इस दिल का भी सबर

बिछड गया कोई हमसे अपना
पहली दफह किसी को इतना चाह था मैनें
उसे फिर अपना खुदा माना था मैंने

वो मेरे ख्यालों में जीया करता था
मेरे हर साँस की एक वजह वो भी हुआ करता था

बिछड गया कोई हमसे अपना

उसे इज्हार कर हमने अपनी मुहब्बत का इहसास कराया था
खामौशी में उसने भी फिर प्यार जताया था

मैं उम्मीदों को जिंदा रख जीने लगा था
उसके हर दुख को अपना समझ पीने लगा था

बिछड गया कोई हमसे अपना

वो दुखी सा होकर हम्हें इंकार करता था
वजह अंजान थी क्योकि हर बार करता था

मैं उसे सच्ची मुहब्बत करने लगा
उसके हाँ के इतजार में जीने लगा

बिछड गया कोई हमसे अपना

सब कुछ अच्छा चल रहा था
उसे भी है अब प्यार एसा लग रहा था

फिर अचानक इक भवंडर आया
मेरी जीवन में तूफान ले आया

बिछड गया कोई हमसे अपना

उसके अतीत का इक पन्ना आज उसका आज बनकर आया
मेरे दिल में हलचल मची फिर उसने मुझे बहुत रूलाया

टूट गया मैं अपनी क़मुहब्बत को संजोता – संजोता इस कदर…
देख ना सका अपना बुरा भी हर डगर

बिछड गया कोई हमसे अपना

फिर उसकी खुशी के लिए फिका सा मैं भी हंस दिया
हर अरमान मैंने अपना जिंदा दफन फिर मैनें कर लिया

आज वो दूर है मुझसे ए सच है
मुझे प्यार आज भी है उस्से ए भी सच है

उस उपर वाले की मर्जी नें मुझे अलग कर दिया
वो अलग हुआ पर मुझे पत्थर दिल कर दिया

बिछड गया कोई हमसे अपना …

– Saurabh Saini

Mohabbat Ki Gham Bhari Shayari

Mere Dil Mein Jis Shakhs Ka Qyaam Hai Dosto
Meri Nazar Mein Uska Baut Uncha Maqaam Hai Dosto

Humaari Mohabbat Ki Duniya Ko Khabar Hone Lagi Hai
Aajkal Humaare Pyar Ka Charcha Aam Hai Dosto

Khuda Kare Usey Meri Bhi Sabhi Khushiyan Mil Jayein
Mere Sath Uske Gham Ki Shaam Hai Dosto

Ab To Kisi Se Baat Karna Acha Nahi Lagta
Din Raat Honthon Pe Usi Ka Naam Hai Dosto

Asghr Ko Gham Dene Waley Tu Sadaa Khush Rah
Uske Liye Mera Yehi Aakhri Paigham Hai Dosto …

– M.Asghar Mirpuri

Gham Shayari on Dukhi Zindagi

Kuch Iss Tarah Ki Apni Zindagi Hai
Dil Mein Gham Aankhon Mein Nami Hai

Jab Tak Tera Dard Mere Sath Hai
Tab Tak Mujhey Kis Baat Ki Kami Hai

Khushi Ke Sath Gham Bhi Milte Hain
Haqeeqat Mein Issi Ka Naam Zindagi Hai

Mein Kaise Tujhey Dil Se Juda Kar Doon
Jane-Mann Tu Mere Saanson Mein Basi Hai

Tu Bhi Dukhi Hai Asghr Bhi Dukhi Hai
Raqeebon Ko Issi Baat Ki Khushi Hai

– M.Asghar Mirpuri

Anjaan Sa Ek Dard Shayari

Kyo Anjaan Sa Ek Dard Andar Se Jata Nahi
Kyo Sona Chahu Fir Bhi Man Neend Tak Pohunch Pata Nahi

Kyo Khwab Dekhne Ki Lagan Hai, Par Pure Ho Pate Nahi
Waqt Ye Insaaf To Nahi, Fir Bhi Kyo Waqt Se Hum Khilaf Nahi

Kyo Dar Hai Kuch Khone Ka, Jab Ki Kuch Paya Nahi
Chalte Bohot Hain Manzil Pane Ko, Rasta Khatam Ho Kar Bhi Kyo Kuch Haashil Nahi

Hans Loon Kabhi Hadd Se Jyada To, Kyo Dar Lagata Hai Fir Kahi Rona To Nahi
Kyo Yaado Ka Sahara Acha Lagta Hai, Kyo Hakiqat Me Jina Nahi

– Jashika

Lakhte Jigar Shayari

lakhte-jigar-shayari

Mannato, Murado Ya Naseebo Se Milte Hai Lakhte Jigar
Phir Kyon Budhaape Mein Sataate Hain Lakhte Jigar

Jinki Khushi Key Liye Khoon Pasina Bahaya Har Din
Phir Kyon Budhaape Mein Khoon Key Aansoo Rulate Hain Lakhtey Jigar

Jinki Ek Aah Bhar Se Kaleja Phatt Jata Tha Arif
Phir Kyon Budhaape Mein Kaleja Phaad Dete Hain Lakhte Jigar …

– Mohd.Arif “Cheetal”

Sad Shayari on Lost Love

Dard Sad Shayari

Wo Pehle Jaisi Nawazashein Kahan Gayi
Wo Marawatein Wo Chahatein Kahan Gayi

Humaare Darmiyaan Sazishein Reh Gayi
Wo Pyar Bhari Baatein Kahan Gayi

Jab Sitaron Ko Hum Gawah Karte They
Ab Wo Chandni Raatein Kahan Gayi

Jab Har Roz Tum Phone Karte They
Wo Pyar Bhri Sogaatein Kahan Gayi…?

– M.Asghar Mirpuri