Sad Shayari

Mera Naseeb Dard Shayari

Milkar Kho Jana Mera Naseeb Tha,
Wah, Yeh Dard Bhi Kitna Ajeeb Tha,

Mila Nahi Use Ek Ghar Kahi,
Footpath Par Soya Naseeb Tha,

Ta-Umar Dhundta Raha Usko,
Raahon Mein Mera Woh Naseeb Tha,

Mushkil Se Paya Hai Raasta,
Ki Bheed Mein Chalna Ajeeb Tha,

Kaash Thahr Jaati Yeh Lehrein Eh Khuda,
Kyonki Milne Wala Mera Habeeb Tha,

Milkar Kho Jana Mera Naseeb Tha,
Wah, Yeh Dard Bhi Kuch Ajeeb Tha…

Unki Yaad – Broken Heart Shayari

Har Lamha Hum Unhein Yaad Karte Rahe,
Unki Yaad Mein Mar-Mar Ke Jeete Rahe,

Ashq Aankon Se Hamari Bahte Rahe,
Hum Ashqon Ke Jaam Peete Rahe,

Mohabbat Ruswa Hui Zamane Mein,
Hum Bas Unka Naam Lekar Hi Jeete Rahe,

Lab Khamosh The Aankon Ne Haal-E-Dil Kaha,
Hum Bas Unka Naam Le Kar Hi Jeete Rahe…

Tute Dil Ka Dard Shayari

Chot Khana Tute Dil Na Kaheen,
Dard Reh Jaayega Kaheen Na Kaheen,

Hai Dushman Bhari Huyi Zindagi Eh Sanam,
Aasmaan Par Hogi Zameen Na Kaheen,

Tum Loge Pyar Mein Imtehan Kabhi,
Aaye Hamein Is Jhuthh Par Yakeen Na Kaheen,

Maut Usi Ki Chokhat Pe Ho Eh Khuda,
Sazda Sirf Uske Siwa Ho Na Kaheen,

Aapki Guftagoo Ka Kya Kahna Eh Sanam,
Char Baatein Hain Dilnashi, Yeh Aur Na Kaheen,

Chot Khana Tute Dil Na Kaheen,
Dard Rah Jaayaga Kaheen Na Kaheen…

Tumhara ishq bhi sharab ki tarah hai
Thoda sa chakh kya liya aadat kharab ho gyi….

Dard Bhari Shayari in Hindi

बातें तो हर कोई समझ लेता है..!
पर मुझे वो इन्सान चाहिए जो मेरी खामोशियो को समझे…!!

Ishq Mein Dil Ne

Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna,
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna,

Main Uthhta Hun Sahare Ke Liye Uske,
Reh Na Gaya Ho Raah Mein, Kaheen Dard Apna,

Khaakh Kis-Kis Ki Khuda Jaane Huyi Eh Daman Wale,
Tune Chalte Huye Daman Na Sambhala Apna,

Dil Chhune Wale Do Labaz Hi Likhe The Usne,
Kaam-Kaaz Sab Ulat Pher Ho Gaya Apna,

Hain Bure Haal, Ki Sab Dekhne Waale Hain,
Koi Duniya Mein Nahi Haal Puchhne Wala Apna,

Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna,
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna…

Pyar Mein Betaab Dil

Maayus Dil Mein, Dil-E-Nakaam Ho Gaya,
Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya,

Main Har Tarah Se Doshi Ho Gaya,
Galati Ki Kisi Aur Ne, Naam Mera Ho Gaya,

Is Tashanagi Ki Aag, Usi Se Bujhi,
Main Paani Peete-Peete, Sharabi Ho Gaya,

Aashiq Ki Kamzori Ki Kuchh Intehaan Nahi,
Gaya Wahan Jahan Is Jeewan Ka Islaam Ho Gaya,

Dil Mera Bataab Hai Uske Pyar Ke Liye,
Aankhen Pyala Ho Gayi Dil Jaam Ho Gaya,

Rahta Hai Apna Mukaddar Bhi Apne Saath,
Wahan Bhi Pyar Ke Maaron Mein Shamil Ho Gaya,

Duniya Mein Har Mash-hoor Aadmi Paise Ka Gulam Hai,
Lekin Woh Toh Aapka Gulam Ho Gaya,

Maayush Dil Mein Dil-E-Nakaam Ho Gaya,
Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya…

Ek Bewafa Hai

Ek Bewafa Ko Apna Hamraaj Banakar,
Ab Pachhta Raha Hun Apna Dil Ganwakar,

Us Bewafa Ne Zindagi Mein Aag Laga Di,
Jise Dil Mein Basaya Tha Chandni Banakar,

Sahme Huye Phool Yeh Meri Mohabbat Ke,
Berang Ho Chuke Hain Aansuon Mein Nahaakar,

Alaah Kare Use Bhi Kabhi Neend Naa Aaye,
Jo Le Gaya Hai Meri Aankhon Ki Neend Churakar,

Phulon Ki Sez Usko Kabhi Raas Na Aaye,
Jo Gaya Hai Meri Raahon Mein Kaante Bichhakar,

Tadpega Tu Bhi Ek Din Meri Tarah Se,
Eh Sanam Royega Takiye Ko Seene Se Lagakar,

Maine Toh Aansuon Ko Apna Mukaddar Bana Liya,
Eh Bewafa Khush Tu Bhi Na Rahega Mujhe Rulakar,

Ek Bewafa Ko Apna Hamraaj Banakar,
Ab Pachhta Rahe Hain Apna Dil Ganwakar…

Dard-E-Dil – Broken Heart

Ab Hum Kisi Ki Tamanna Na Karenge,
Ab Raah Kisi Ki Bhi Na Dekha Karenge,

Mere Dard Se Wakif Na Ho Jaaye Tera Saya,
Ab Is Andhere Kamre Mein Ujala Na Karenge,

Kyon Jhanke Khidkiyon Se Kyon Dar Pe Khade Ho,
Hum, Dard-E-Dil Ko Bayaan Na Karenge,

Tadpaya Rulaya Hai, Woh Jab Bhi Mile Hain,
Ab Paigam Bhi Aaye Toh Jaya Na Karenge,

Muddat Se Rakkhi Hai Takiye Ke Neeche Mere,
Teri Us Tasveer Se Dil Bahlaya Na Karenge,

Aankhe Jali, Rooh Jali, Dil Jala, Zism Jala,
Diya Umeed Ka Palkon Par Jalaya Na Karenge…

Betaab Dil

Chain Yahan Hai, Ab Wahan Nahi,
Dil Kyun Betaab Hai, Eh Khuda Pata Nahi,

Jis Talash Mein Hai Tu Shayad,
Woh Aapko Kabhi Mila Nahi,

Shyad Ye Mausam Bana Rahe,
Yahan Toh Kisi Ko Rahna Nahi,

Shikwe Duniya Se Hazaaron Hain,
Eh Sanam Mujhe Aapse Koi Gila Nahi,

Dil Se Mere Milna Jaroor Eh Husan Walon,
Kya Aapke Dil Mein Kabhi Koi Raha Nahi…

Hindi Love Letters Shayari

Jo Aati Thi Kabi Mere Naam Chitthhiyan,
Hum Aaj Bhi Padhte Hai Woh Gumnaam Chitthhiyan,

Sarhadon Ke Paar Gaye, Dil Ke Woh Tukde Eh Sanam,
Bas Reh Gayi Ab Toh Ban Ke Salaam Chitthhyan,

Dhime-Dhime Kadamon Se Aati Thi Woh,
Roz Nahi Aayi Magar Be-imaan Chitthhiyan,

Mere Sath Rahi Hamesha Khamoshiyan,
Shirf Likhta Gaya Haal-E-Tamaam Chitthhiyan,

Jab Bhi Meri Pyaas Baaki Reh Jaati Hai,
Peeta Hun Ab Main Banaakar Zaam Chitthhiyan,

Katra-Katra Bikhra Hua Hai Zameen Par,
Samet Loo Eh Sanam Tera Yeh Pyar Chitthhiyan…

Bewafa Se Mohabbat

Kyun Daaman Ko Dagdar Karte Ho,
Kyun Bewafa Se Mohabbat Karte Ho,

Jo Poojta Hai Tumhein Khuda Ki Tarha,
Kyun Uski Mohabbat Ko Badnaam Karte Ho…