Intezaar Shayari
Aapka Intezar Shayari
आ जाओ के, तुम्हें अब भी याद करते है,
ज़िंदगी से जयादा तुम्हें प्यार करते हैं।
आप जिस रास्ते से गुज़रते भी नहीं,
हम उन रास्तो में भी आपका इंतज़ार करते है।
- Intezaar Shayari
- Share:
Intezaar Sad Love Shayari by Gulzar
आदतन तुमने कर दिए वादे,
आदतन हमने ऐतबार किया,
तेरी राहों में हर बार रूककर,
हमने अपना ही इंतज़ार किया!
– गुलज़ार
- Intezaar Shayari, Love Shayari
- Share:
Dil Mein Yaadein Sad Shayari
Aaj Meri Jaan Chal Padi Hai Apne Safar Per
Meri Aankhon Mein Aansoo Dil Mein Yaadein Chhodkar
Kisi Waqt Is Jagah Wo Bethi Thi Mere Pass Mein
Aaj Bhi Ek Waqt Hai Jab Tanhai Hai Mere Sath Mein
Ab Zindgi Mein Bus Unka Hi Sahara Hai
Sadiyon Se Rakha Hai Khuda Ne Naam Intzaar-E-Alam Hamara Hai
Seene Dhadakta Hai Ye Dil
Is Per Naam Likha Tumara Hai
Khabar Chhapi Hai In Dino, “Ek Pagal Premi”,
Zara Gaur Se Dekho Wo Ishtehar Hamara Hai…
– Vishal Chandra Fulara
- Intezaar Shayari, Sad Shayari, Yaad Shayari
- Share:
Zindagi Nisaar Shayari
Aa Bhi Jao Mausam E Bahar Hai Usey Kehna
Humein Uska Intezar Hai Usey Kehna
Zindgi Mein Qadam-Qadam Pe Imtehan Hain
Rasta Bada Dashwaar Hai Usey Kehna
Khushiyan Kam Hain Beshumaar Ghum Hain
Unki Lambi Qataar Hai Usey Kehna
Dard E Hijhr Ko Ashaar Mein Prona
Ab Yehi Karobaar Hai Usey Kehna
Asghr Ko Kabhi Azma Kar Dekh Lena
Yeh Zindagi Us Pe Nisaar Hai Usey Kehna…
– M.Asghar Mirpuri
- Intezaar Shayari, Sad Shayari
- Share:
Dil Ki Baat Shayari
Lagi Ko Bujha De Meharbaan Banaakar,
Mujhe Mita De Tera Nishaan Banaakar,
Kahenge Na Yeh Teri Galtiyan Kisi Se,
Kar De Koi Gunaah, Tera Deewana Banaakar,
Hum Bhi Rahte Hain Us Chhat Ke Neeche,
Jo Failayi Hai Tum Par Aasmaan Banaakar,
Intezaar Mein Patthar Na Hoti Aankhe,
Nikal Aate Aansu Agar Armaan Bankar,
Dil Ki Dhadkano Par Vishwas Kar Lo Sanam,
Kaho Dil Ki Baat Mujhe Zubaan Banaakar…
- Intezaar Shayari, Love Shayari
- Share:
Bekarar Shayari
Bekarar Dil Shayari
Na Kasam, Na Koi Wada, Nahi Iraada,
Fir Kis Liye Dil Mera Bekarar Rehta Hai,
Na Koi Tamanna Na Koi Khwaish, Aarzu,
Fir Kyun Mujhe Kisi Ka Intezaar Rahta Hai,
Har Ek Lamha Ab Dil Mera Preshaan Rahta Hai,
Har Ek Aahat Par Tera Intezaar Rahta Hai,
Kya Bataun Ki Tere Bagair Kya Haalat Hai Meri,
Aankhein Nam, Rooh Bechain, Dil Sogvaar Rahta Hai…
- Intezaar Shayari, Sad Shayari
- Share:
Pyar Ki Mulakat
Teri Baahon Mein Meri Zannat,
Meri Julfon Mein Teri Shaam Hui Thi,
Pyar Ke Lambe Intezaar Ke Baad,
Eh Sanam Tumse Meri Mulakaat Hui Thi…
- Intezaar Shayari, Love Shayari, Pyar Shayari
- Share:
Pyar Ka Intezaar
Har Pal Tera Intezaar Rahta Hai,
Tere Liye Eh Sanam Yeh Dil Bekaraar Rahta Hai,
Na Tu Kabhi Aaya Hai , Na Tu Kabhi Aayega,
Phir Bhi Kyon Tera Intezaar Rahta Hai…
- Intezaar Shayari, Pyar Shayari, Sad Shayari
- Share:
Unke Intezaar Mein
Paane Ki Koi Chah Nahi Na Milne Ki Hawas Humko,
Judai Ke Dar Se Fir Kyun Sahme Sahme Rahte Hain,
Ajib Kasamkash Teri Hai, Ajeeb Uljhan Meri Hai,
Jajbaaton Ke Sagar Mein Doobte Ubhrate Rahte Hain,
Aisi Toh Koi Baat Nahi Jeevan Bhar Ka Saath Nahi,
Khat Ki Chah Mein Fir Kyun Raah Takte Rahte Hain,
Na Tum Mere Apne Ho Apna Nahi Main Bhi Tumhara,
Ek Dooje Ko Apna Kyun Fir Hum Samajhte Rahte Hain,
Deep Mein Jyoti, Seep Mein Moti, Aisa Bandhan Nahi,
Ek Dooje Se Na Bichhde Yeh Dua Kyun Karte Rahte Hain,
Mulakat Ki Hasrat Na Koi Na Deedar Ki Koi Jarurat Hai
Tasavvur Mein Fir Kyun Ek Dooje Ko Dekhte Rahte Hai
Anjaam Na Jaane Kya Hoga Yeh Soch Ke Dil Ghabrata Hai
Is Ajeeb Se Riste Ko Kyun Khaton Se Seenchte Rahte Hai
Mere Dil Mein Huk Uthhe Toh Dard Tujhe Kyun Hota Hai
Ehsason Ki Aag Mein Hum Dono Kyun Sulgate Rahte Hain
Ek Baar Milne Ki Tamanna Hai Khwaish Nahi Hai Chhune Ki
Intezaar Mein Us Din Ke Dono Din Ungali Pe Ginte Rahte Hain
Main Sharabi Nahi Eh Meena Kis Haq Se Tumko Pee Jaaun
Paimane Teri Aankhon Ke Meri Aankhon Mein Chhalkate Rahte Hain…
- Intezaar Shayari, Sad Shayari
- Share:
Her Lamha Tera Ehsaas
Tera Intezaar Mujhe Har Pal Rehta Hai
Her Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai
Tujh Bin Dhadkane Rukk Si Jaati Hai
Ki Tu Mere Dil Me Meri Dhadkan Banke Rehta Hai…
– Afreen
- Intezaar Shayari, Love Shayari
- Share: