शायरी क्या है?

शायरी एक काव्यात्मक अभिव्यक्ति का रूप है जो दक्षिण एशियाई साहित्य और संस्कृति में गहराई से रची-बसी है। इसकी उत्पत्ति फ़ारसी में हुई और बाद में यह उर्दू, हिंदी और अन्य क्षेत्रीय भाषाओं में फली-फूली। शायरी मानवीय भावनाओं के व्यापक दायरे को दर्शाती है — प्रेम और तड़प से लेकर दिल टूटने, आशा और कभी-कभी हास्य तक। और पढ़ें...

Roti Ka Ishq

Ek Sufi Ne Dastarkhan Dekha Khoonti Per Tanga
Bas Vahin Labade Ko Faad Sufi Naachne Laga

Dekho Besaharon Ka Sahara, Usne Fir Kaha
Dekho Voh Tangi Hai Dard Aur Killat Ki Dava

Darvesh Ne Us Shor O Gull Ko Itna Badhaya
Ki Sufi Tha Jo Bhi Us Tak Daura Aaya

Chillaya Haye-Hoo Aur Khoob Maare Thahaake
Ho Gye Mast Bekhudi Ki Mey Pee-Pee Ke

Kehne Laga Ek Befizool Ke Ye Kya Hai
Dastarkhan Mein Roti Nahi Bas Hawa Hai

Bole Sufi Ke Bhaag Ja Tasveer Be-imaani Hai Tu
Hai Hasti Ke Peeche, Tujhe Nhi Kuch Ishq Ki Boo

Roti Nahi, Roti Ka Ishq Sufi Ki Khurak Hai
Jo Bhi Saccha Hai Aashiq, Hasti Se Aazad Hai

Aashiqon Ke Liye Bilkul Bekar Hai Wajood
Bin Sarmaya Aashiqon Ko Milta Hai Sood…

– Jalaluddin Rumi

Darindagi Ke Aage Darinda

Jungle Mein Ghumta Hai Pehron, Fikre-Shikar Mein Darinda
Ya Apne Zakhm Chaat-Ta Hai, Tanha Kchhaar Mein Darinda

Baaton Mein Dosti Ka Amrit, Seeno Mein Zehar Nafraton Ka
Parbat Pe Phool Khil Rahe Hain, Baitha Hai Gaar Mein Darinda

Zeheni Ygaanagat Ke Aage, Thi Khwahishein Khazil Badan Ki
Chattaan Per Baitha Chaand Taake, Jaise Kunwaaron Mein Darinda

Gaanv Se Sehar Aane Wale, Aaye Nadi Pe Jaise Pyaase
Tha Muntzir Unhi Ka Kab Se, Ik Rozgaar Mein Darinda

Majhab, Na Jang, Na Siyasat, Jaane Na Jaat-Paat Ko Bhi
Apni Darindagi Ke Aage, Hai Kis Shoomar Mein Darinda…

– Javed Akhtar

Ghazal – Shauk Ki Intaha

Humare Shauk Ki Ye Intaha Thi
Kadam Rakha Ki Manzil Raasta Thi

Bichhad Ke Daar Se Ban-Ban Fira Voh
Hiran Ko Apni Kastoori Saza Thi

Kabhi Jo Khwab Tha Voh Paa Liya Hai
Magar Jo Kho Gyi Voh Cheez Kya Thi

Main Bachpan Mein Khilone Todta Tha
Mere Anzaam Ki Voh Ibtada Thi

Mohabbat Mar Gyi Mujhko Bhi Gham Hai
Mere Achhe Dino Ki Aashna Thi

Jise Chhoo Looon Voh Ho Jaye Sona
Tujhe Dekha To Jana Bad-Dua Thi

Mareeze-Khwab Ko To Ab Shafa Hai
Magar Duniya Badi Kadvi Dawa Di…

– Javed Akhtar

Her Lamha Tera Ehsaas

Tera Intezaar Mujhe Har Pal Rehta Hai
Her Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai
Tujh Bin Dhadkane Rukk Si Jaati Hai
Ki Tu Mere Dil Me Meri Dhadkan Banke Rehta Hai…

– Afreen

Kuch Waqt Do

Kuch Waqt Do Ke Sambhl Sakun
Kuch Waqt Do Ke Tumhe Samajh Sakun
Kuch Waqt Do Ke Khud Se Keh Sakun
Ki Tum Hi Ho Vahi Jise Chaha Tha Kabhi…

Tarshe Mann Mera

Teri Awaaz Sunne Ko Tarshe Hai Mann Mera
Teri Ek Jhalak Paane Ko Bekarar Hai Mann Mera
Apni Zindagi Ka Har Lamha Tere Saath Guzaru
Har Pal Bas Yehi Chahta Hai Mann Mera…

– Afreen

Dard Ab Sambhlata Nahi

Dard Ab Itna Ki Sambhlata Nahi Hai
Tera Dil Mere Dil Se Milta Nahi Hai
Ab Aur Kis Tarah Pukaroon Main Tumhe
Tera Dil To Mere Dil Ki Sunta Bhi Nahi Hai…

– Neelam

Khuda Bachaye Buri Nazar Se

Wo Milne Ko Aaye Hai Sajj Sanwar Ke Ghar Se
Gaalon Par Aaya Hai Rang Gulabi Sa Nikhr Ke

Kehte Hain Wo Yeh Chehre Par Noor Hai Jo
Hai Bas Aapki Hee Mohabbat Ke Asar Se

Bas Itna Hee Chahun Main Rab Se Dua Mein
Dunia Ko Dekhun To Bas Teri Pyar Bhri Najar Se

Pyar Bhari Baton Mein Kho Jaate Hai Is Qadar
K Hum Ho Jaate Hai Puri Dunia Se Bekhabar Se

Dil Bhi Yahi Fariyad Karta Hai Ab Mera
Waqt Gujre Uski Hi Bahon Me Sham Tak Sehar Se

Har Janam Mein Mujhe Sath Mile Bas Usi Kaa
Khuda Bachaye Hmari Mohabbat Ko Buri Najar Se…

– Aprachit