शायरी क्या है?

शायरी एक काव्यात्मक अभिव्यक्ति का रूप है जो दक्षिण एशियाई साहित्य और संस्कृति में गहराई से रची-बसी है। इसकी उत्पत्ति फ़ारसी में हुई और बाद में यह उर्दू, हिंदी और अन्य क्षेत्रीय भाषाओं में फली-फूली। शायरी मानवीय भावनाओं के व्यापक दायरे को दर्शाती है — प्रेम और तड़प से लेकर दिल टूटने, आशा और कभी-कभी हास्य तक। और पढ़ें...

Best Dard Sms on Love

Nashe Mein Bhi Tera Naam Lab Par Aata Hai,
Chalte Huye Mera Paanv Ladkhadata Hai,
Dard Sa Dil Mein Uthhta Hai Mere,
Haseen Chehre Par Bhi Daag Najar Aata Hai…

++++

Gilash Par Gilash Bahut Toot Rahe Hain,
Khusi Ke Pyale Dard Se Bhar Rahe Hain,
Mashalon Ki Tarah Dil Jal Rahe Hain,
Jaise Zindagi Mein Badkismati Se Mil Rahe Hain…

++++

Aashiq Ke Naam Se Sabhi Jaante Hain,
Itna Badnaam Ho Gaye Hum Maykhane Mein,
Jab Bhi Teri Yaad Aati Hai Bedard Mujhe,
Toh Peete Hain Hum Dard Paimane Mein…

++++

Mehandi Ke Bahane Khoon Laga Rahe Hain,
Khud Ki Taarifon Ke Pul Bana Rahe Hain,
Kitne Khudgarj Hain Rangeen Mahfilon Waale,
Mujhe Dard Dekar Apne Gunaah Chhupa Rahe Hain…

++++

Nazron Se Dekho Toh Aabad Hum Hain,
Dil Se Dekho Toh Barbaad Hum Hain,
Jeevan Ka Har Lamha Dard Se Bhar Gaya,
Fir Kaise Kah Dein Aazad Hum Hain…

++++

Apno Ke Beech Begaane Ho Gaye Hain,
Pyar Ke Lamhe Anjaane Ho Gaye Hain,
Jahan Par Phool Khilte The Kabhi,
Aaj Wahan Par Veerane Ho Gaye Hain….

++++

Kismat Yeh Mera Imtehaan Le Rahi Hai,
Tadpakar Yeh Mujhe Dard De Rahi Hai,
Dil Se Kabhi Bhi Maine Use Door Nahi Kiya,
Fir Kyun Bewafayi Ka Woh Ilzaam De Rahi Hai…

++++

Kaun Hai Woh Jo Dil Mein Samaye Jata Hai,
Dard Dekar, Ghar Garon Ka Basaye Jata Hai,
Mehandi Rachakar Chala Gaya Hai Pardesi,
Khud Apne Daaman Mein Woh Daag Lagaye Jata Hai…

++++

Meri Mahbooba Hum Tujhe Salaam Karte Hain,
Fir Bhi Aap Hamein Yun Badnaam Karte Hain,
Pyar Jatakar Dil Ko Dard Dena Pyar Mein,
Jaanvaron Se Ghatiya Kaam Yeh Insaan Karte Hain…

++++

Sanson Ki Dor Chhutati Jaa Rahi Hai,
Kismat Bhi Hume Dard Deti Jaa Rahi Hai,
Maut Ki Taraf Hain Kadam Hamare,
Mohabbat Bhi Hum Se Chhutati Ja Rahi Hai…

Best Yaadein SMS

Yaadein Rah Jati Hain Aur Din Gujar Jaate Hain,
Dekhte Dekhte Hre Hre Baag Ujad Jaate Hain,
Waqt Ke Haathon Aadmi Khilone Hote Hain,
Zeevan Bhar Ke Humsafar Pal Bhar Mein Bichhad Jaate Hain…

+++

Kaise Kaise Din Teri Aashiqi Ne Dikhaye Hain,
Khoon Ke Aansu Bahut Raat Din Maine Bahaye Hain,
Teri Baatein, Teri Yaadein,Teri Adayein Andaaj Tere,
Mat Puchh Jaalim Hamein Kis Kadar Satate Hain…

+++

Dil Mera Tera Beemaar Aaj Bhi Hai,
Teri Kasam Tujh Se Mujhe Pyar Aaj Bhi Hai,
Mana Ki Tujhe Yaad Nahi Kiya Bedard Duniya Ne,
In Pahron Ke Bavjood Tera Intezar Aaj Bhi Hai,

+++

Nigahein Milane Ko Jee Chahta Hai,
Tere Paas Aane Ko Jee Chahta Hai,
Kaash Wohi Yaadein Fir Lout Aayein,
Phir Tanhai Mahkane Ko Jee Chahta Hai…

+++

Aashiqi Ne Hum Ko Kya Kya Din Dikhaye Hain,
Apne, Paraye, Ghar Aur Shahar Chhod Aaye Hain,
Teri Yaadon Ko Aaj Tak Bhoola Nahi Paayein Hain,
Kya Hum Bhi Kabhi Tujhe Yaad Aaye Hain…

+++

Meri Aakhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain,
Meri Nash Nash Tere Pyar Ko Tarasti Hain,
Tu Toh Bata Jaanam Tujhko Batana Kaise Hai,
Ki Meri Rooh Tak Teri Yaad Mein Tadapti Hai…

+++

Eh Sanam Kya Tumne Bhula Diya Hai,
Kya Meri Yaad Ko Dil Se Mita Diya Hai,
Toone Toh Kasmein Khayi Jeene Marne Ki,
Kya Mera Likha Hua Har Khat Jala Diya Hai…

+++

Jab Bhi Mere Hoton Par Tera Naam Aata Hai,
Tere Tadpate Dil Ko Sanam Aaram Aata Hai,
Yahaan Tanhai Hai, Ghum Hai, Udasiyaan Hain,
Har Shaam, Haathon Mein Teri Yaad Ka Jaam Aata Hai…

+++

Tere Bagair Zindagi Mein Kuchh Bhi Nahi Hai,
Tu Saath Nahi Toh Khushi Bhi Khushi Nahi Hai,
Chali Aao Aaj Toh Kisi Bahaane Se Eh Sanam,
Teri Yaad Mein Meri Dhadkan Thami Thami Hai…

+++

Har Pal Saath Rahne Ki Kasam Khayi Hai,
Maine Har Rasam Ulfat Ki Nibhayi Hai,
Woh Daman Bacha Kar Phoolon Mein Baithe Hain,
Mere Aangan Mein Sirf Teri Yaad Samayi Huyi Hai…

Dil Ki Har Baat

Har Pal Haske Jiya Karte Hain
Tumse Dil Ki Har Baat Kiya Karte Hain
Tum Khas Ho Humare Liye
Isliye Har Waqt Apko Yaad Kiya Karte Hain

Humare Beech Ki Nazdikiyan Kabhi Kam Na Ho
Khuda Kare Tumhe Kabhi Koi Gam Na Ho
Jis Din Tute Ye Rista Apna
Khuda Kare Us Din Is Jahan Me Hum Na Ho

Chah Kar Bhi Juda Na Reh Sakoge
Rooth Kar Kabhi Khafa Na Reh Sakoge
Hum Saath Hi Kuch Aise Nibhayenge
Ke Aap Hume Kabhi Alvida Na Keh Payenge…

Ajab Khwahishein

Kubku Phela Gayi Baat Shanasai Ki
Usne Khushbu Ki Trah Meri Pazirai Ki

Kaise Keh Dun Ki Mujhe Chhod Diya Usne
Baat To Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki

Vo Kahi Bhi Gaya, Lauta Mere Paas Aaya
Bas Yahi Baat Hai Acchi Mere Harjai Ki

Tera Pehlu Tere Dil Ki Trah Aabaad Rahe
Tujh Pe Guzre Na Kyamat Shabbe Tanhai Ki

Usne Jalti Hui Peshani Pe Jab Hath Rakha
Rooh Tak Aa Gyi Taaseer Masihai Ki

Ab Bhi Barsaat Ki Raaton Mein Badan Toot-Ta Hai
Jaag Uth-Ti Hain Ajab Khwahishein Angdaai Ki

– Parveen Shakir

Gunaah Tarze-Nigaah

Gine Huye Kadam Inhraaf Kya Hote
Gunaah Tarze-Nigaah Tha, Maaf Kya Hota

Jhuki Hui Meir Aakhein, Sile Huye Mere Lab
Ab Is Se Badh Kar Tera Etraaf Kya Hota

Khud Apni Vehshate-Jaan Se Wafa Na Ki Hum Ne
Zamana Aur Humare Khilaaf Kya Hota

Diye To Ab Bhi Diye Hain Vo Bazm Ho Ki Harm
Bhujhe Huye Dilon-Jaan Se Tavaaf Kya Hota

Sitara Tha Bhi To Aansu Ki Istaara Tha
Kisi Falak Ka Yahan Inkishaf Kya Hota

Vahi Gubaare-Tammana, Vahi Shamime Dua
Tu Rozo Shab Mein Mere Ikhtilaaf Kya Hota…

– Parveen Shakir

Rooh Ki Raat

Har Raat Roohein Kaide Tan Se chhut Jaati Hain
Kehne-Karne Ki Hadon Se Toot Jati Hain

Roohein Riha Hoti Hain Is Kafas Se Har Raat
Haakim Aur Kaidi Ho Jaate Sabhi Aazad

Vo Raat Jisme Kaidi Kafas Se Bekhabar Hain
Aur Shah Jo Apni Daulat Se Bekhabar Hai

Khone-Paane Ka Koi Dar Nhi Aur Gham Nahi
Na Pyar Is Se, Us Se Kuch Bereham Nahi

Sufiyon Ka Haal Ye Hai Bin Soye Hardam
Ve So Chuke Hote Jabki Jaage Hain Dekhte Hum

So Chuke Duniya Se Aise, Din Aur Raat Mein
Dikhe Nahi Rab Ka Kalam Jaise Juske Hath Mein…

– Rumi

Bachpan Ke Din

Mujhko Yakeen Hai Sach Kehti Thi Jo Bhi Ammi Kehti Thi
Jab Mere Bachpan Ke Din The Chand Mein Pariya Rehti Thi

Ek Ye Din Jab Apno Ne Bhi Humse Nata Tod Liya
Ek Voh Din Jab Ped Ki Shakhein Bojh Humara Sehti Thi

Ek Ye Din Jab Saari Sadakein Roothi-Roothi Lagti Hain
Ek Voh Din Jab “Aao Khelein” Saari Galiyaan Kehti Thi

Ek Ye Din Jab Jaagi Ratein Deewaron Ko Takti Hain
Ek Voh Din Jab Shaamon Ki Bhi Palkein Bojhil Rehti Thi

Ek Ye Din Jab Zahan Mein Saari Chalaki Ki Baatein Hain

Ek Voh Din Jab Dil Mein Bholi-Bhaali Batein Rehti Thi

Ek Ye Din Jab Laakhon Gham Aur Kaal Pada Hai Aansoo Ka
Ek Voh Din Jab Zara Si Baat Pe Nadiyan Behti Thi

Ek Ye Ghar Jis Ghar Mein Mera Saazo-Samaan Rehta Hai
Ek Voh Ghar Jis Ghar Mein Meri Bhudhi Naani Rehti Thi…

– Javed Akhtar

Dard Ke Phool

Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jaate Hain
Zakham Kaise Bhi Hon Kuch Roz Mein Bhar Jaate Hain

Raasta Roke Khadi Hai Yahi Uljhan Kab Se
Koi Puchhe To Kahein Kya Ki Kidhar Jana Hai

Chhat Ki Kadiyon Se Utarate Hain Mere Khwab Magar
Meri Deewaron Se Takraa Kar Bikhar Jaate Hain

Narm Alfaaz, Bhali Baatein, Muhzzab Lehje,
Pehli Barish Hi Mein Ye Rang Utar Jaate Hain

Us Khidki Mein Bhi Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi
Sir Jhukaye Huye ChupChaap Guzr Jaate Hain…

– Javed Akhtar