Sad Shayari

Bachpan Ke Din

Mujhko Yakeen Hai Sach Kehti Thi Jo Bhi Ammi Kehti Thi
Jab Mere Bachpan Ke Din The Chand Mein Pariya Rehti Thi

Ek Ye Din Jab Apno Ne Bhi Humse Nata Tod Liya
Ek Voh Din Jab Ped Ki Shakhein Bojh Humara Sehti Thi

Ek Ye Din Jab Saari Sadakein Roothi-Roothi Lagti Hain
Ek Voh Din Jab “Aao Khelein” Saari Galiyaan Kehti Thi

Ek Ye Din Jab Jaagi Ratein Deewaron Ko Takti Hain
Ek Voh Din Jab Shaamon Ki Bhi Palkein Bojhil Rehti Thi

Ek Ye Din Jab Zahan Mein Saari Chalaki Ki Baatein Hain

Ek Voh Din Jab Dil Mein Bholi-Bhaali Batein Rehti Thi

Ek Ye Din Jab Laakhon Gham Aur Kaal Pada Hai Aansoo Ka
Ek Voh Din Jab Zara Si Baat Pe Nadiyan Behti Thi

Ek Ye Ghar Jis Ghar Mein Mera Saazo-Samaan Rehta Hai
Ek Voh Ghar Jis Ghar Mein Meri Bhudhi Naani Rehti Thi…

– Javed Akhtar

Dard Ke Phool

Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jaate Hain
Zakham Kaise Bhi Hon Kuch Roz Mein Bhar Jaate Hain

Raasta Roke Khadi Hai Yahi Uljhan Kab Se
Koi Puchhe To Kahein Kya Ki Kidhar Jana Hai

Chhat Ki Kadiyon Se Utarate Hain Mere Khwab Magar
Meri Deewaron Se Takraa Kar Bikhar Jaate Hain

Narm Alfaaz, Bhali Baatein, Muhzzab Lehje,
Pehli Barish Hi Mein Ye Rang Utar Jaate Hain

Us Khidki Mein Bhi Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi
Sir Jhukaye Huye ChupChaap Guzr Jaate Hain…

– Javed Akhtar

Main Aur Meri Aawaragi

Firte Hain Kab Se Dar-Badar Ab Is Nagar Ab Us Nagar
Ik Doosre Ke Humsafar Main Aur Meri Aawaragi
Na Aashna Har Rehguzr Nameharbaan Har Ik Nazar
Jayein To Ab Jayein Kidhar Main Aur Meri Aawaragi

Hum Bhi Kabhi Aabaad The Aise Kahan Barbaad The
Befikar The Aazaad The Masroor The Dilsaad The
Voh Chaal Aisi Chal Gya Hum Bujh Gye Dil Jal Gya
Nikle Jalake Apna Ghar Main Aur Meri Aawaragi

Jeena Bahut Aasaan Tha Ik Shakhs Ka Ehsaan Tha
Humko Bhi Ik Armaan Tha Jo Khwab Ka Saman Tha
Ab Khwab Hain Na Aarzoo Armaan Hai Na Justaju
Yoon Bhi Chalo Khush Hain Magar Main Aur Meri Aawaragi…

– Javed Akhtar

Yaadon Ka Mausam

Sach Ye Hai Bekaar Humein Gham Hota Hai
Jo Chaha Tha Duniya Mein Kam Hota Hai

Dhalta Sooraj, Faila Jungle, Rasta Ghum
Humse Puchho Kaisa Aalam Hota Hai

Gairon Ko Kab Fursat Hai Dukh Dene Ki
Jab Hota Hai Koi HumDum Hota Hai

Zakham To Humne In Aakhon Se Dekhein Hain
Logon Se Sunte Hain Marhum Hota Hai

Zehan Ki Shaakhon Per Ashaar Aa Jaate Hain
Jab Teri Yaadon Ka Mausam Hota Hai…

– Javed Akhtar

Mera Aasmaan Tha Sara

Main Pa Ska Na Kabhi Is Khalish Se Chhutkara
Voh Mujhse Jeet Bhi Sakta Tha, Jaane Kyon Hara

Barash Ke Khul Gye Aansu Nithar Gyi Hai Fiza
Chamak Raha Hai Sare-Sham Dard Ka Tara

Kisi Ki Aankh Se Tapka Tha Ik Amaanat Hai
Meri Hatheli Pe Rakha Hua Ye Angara

Jo Per Samete To Ik Shaakh Bhi Nhi Payi
Khule The Per To Mera Aasmaan Tha Sara

– Javed Akhtar

Vo Gunahgar Dua Kar Deta

Vo Gunahgar Mere Hak Me Dua Kar Deta
Mere Sookhe Huye Jangal Ko Hra Kar Deta

Kaash! Vo Aata Mere Maathe Ke Bose Leta
Main Hoon Bimaar Mere Hak Me Dua Kar Deta

Yoon Bhi Tabdeel Baharon Me Khija Ho Jati
Apne Daaman Se Voh Chehre Pe Hawa Kar Deta

Ye Jo Beaib* Hain Taumar Tarsate Rehte
Mujhko Aisi Koi Taumar Sza Kar Deta

Ek Muddat Se Ye HumRaah Rha Karti Hain
Ranjishein Koi Mere Dil Se Juda Kar Deta…

– Bashir Badr

Chiraag Ki Lo

Har Ik Chiraag Ki Lo Aisi Soyi-Soyi Thi
Voh Shaam Jaise Kisi Se Bichhad Ke Royi Thi

Naha Gaya Tha Main Kal Jugnuo Ki Baarish Mein
Voh Mere Kaandhe Pe Sar Rakh ke Khoob Royi Thi

Kadam-Kadam Pe Lahoo Ke Nishan Kaise Hain
Ye Sarjami To Mere Aansuon Ne Dhoyi Thi

Makaan Ke Saath Voh Podha Bhi Jal Gaya Jisme
Mehkate Phool The Phoolon Me Ek Titli Thi

Khood Uske Baap Ne Pehchaan Kar Na Pehchana
Voh Ladki Pichhle Fasadaat Me Jo Khoyi Thi…

– Bashir Badr

Hain Naashaad Sab

Ye Tassalli Hai Ki Hain Naashaad Sab
Main Akela Hi Nhi Barbaad Sab

Sabki Khatir Hain Yahaan Sab Ajnabi
Aur Kehne Ko Hain Ghar Aabaad Sab

Bhoolke Sab Ranjishein, Sab Ek Hain
Main Batayun Sabko Hoga Yaad Sab

Sabko Daava-E-Wafa Sabko Yakeen
Is Adakari Mein Hain Ustaad Sab

Shehar Ke Haakim Ka Ye Farmaan Hai
Kaid Mein Kehlaayenge Aazad Sab

Chaar Lafzon Mein Kaho Jo Bhi Kaho
Usko Kab Fursat Sune Fariyaad Sab

Talkhiyaan Kaise Na Hon Ashaar Mein
Hum Pe Jo Gujari Humein Hai Yaad Sab…

– Javed Akhtar