Sad Shayari

Hain Naashaad Sab

Ye Tassalli Hai Ki Hain Naashaad Sab
Main Akela Hi Nhi Barbaad Sab

Sabki Khatir Hain Yahaan Sab Ajnabi
Aur Kehne Ko Hain Ghar Aabaad Sab

Bhoolke Sab Ranjishein, Sab Ek Hain
Main Batayun Sabko Hoga Yaad Sab

Sabko Daava-E-Wafa Sabko Yakeen
Is Adakari Mein Hain Ustaad Sab

Shehar Ke Haakim Ka Ye Farmaan Hai
Kaid Mein Kehlaayenge Aazad Sab

Chaar Lafzon Mein Kaho Jo Bhi Kaho
Usko Kab Fursat Sune Fariyaad Sab

Talkhiyaan Kaise Na Hon Ashaar Mein
Hum Pe Jo Gujari Humein Hai Yaad Sab…

– Javed Akhtar

Humse Dilchasp

Humse Dilchasp Kabhi Sacche Nhi Hote Hain
Ache Lagte Hain Magar Ache Nhi Hote Hain

Chaand Mein Budhiya Buzurgon Mein Khuda Ko Dekhein
Bhole Ab Itne To Ye Bacche Nhi Hote Hain

Koi Yaad Aaye Hume Koi Hume Yaad Kare
Aur Sab Hota Hai Ye Kissey Nhi Hote Hain

Koi Manzil Ho Bahut Door Hi Hoti Hai Magar
Raaste Vaapsi Ke Lambe Nhi Hote Hain

Aaj Taareekh To Dohraati Hai Khud Ko Lekin
Ismein Behtar Jo The Vo Hissey Nhi Hote Hain…

– Javed Akhtar

Vo Dhal Raha Hai

Vo Dhal Raha Hai To Ye Bhi Rangat Badal Rahi Hai
Zameen Suraj Ki Ungliyon Se Fisal Rahi Hai

Jo Mujhko Zinda Jala Rahe Hain Voh Bekhabar Hain
Ki Meri Zanzir Dheere-Dheere Pighal Rahi Hai

Main Katl To Ho Gya Tumhari Gali Mein Lekin
Mere Lahoo Se Tumhari Deewar Gal Rahi Hai

Na Jalne Paate The Choolhe Bhi Har Savere
Suna Hai Kal Raat Se Voh Basti Bhi Jal Rahi Hai

Main Jaanta Hoon Ki Khaamoshi Mein Hi Samajhdari Hai
Magar Yehi Maslhat Mere Dil Ko Khal Rahi Hai

Kabhi To Insaan Zindagi Ki Karega Izzat
Ye Ek Umeed Aaj Bhi Dil Mein Pal Rahi Hai…

– Javed Akhtar

Steps of Destination

How to step back, we were within some steps of destination
Our oversight was in advert ant, deserving utmost consideration

My eyes have lowered looks, my lips are all sealed
More than this, I cannot vouch my own admiration

We could not keep pace with our commitment
We cannot blame the world for their indignation

It may be temple or tavern, candles are incandescent
Our heart is all despondent, we show our desperation

A tear in eye was symbolic of a star in the sky
To discover any galaxy would end in frustration

It is same confused longing, it is same diffused yearning
No high or low day after day, no differentiation

– Parveen Shakir

Zindagi Ke Ajeeb Mele

Hum To Bachpan Mein Bhi Akele The
Sirf Dil Ki Gali Mein Khele The

Ik Taraf Morche The Palkon Ke
Ik Taraf Aansuon Ke Rele The

Thi Sazi Hasratein Dukano Per
Zindagi Ke Ajeeb Mele The

Khudkushi Kya Dukhon Ka Hall Banti
Maut Ke Apne Sau Jhamele The

Zehan-O-Dil Aaj Bhukhe Marte Hain
Un Dino Humne Faake Jhele The…

– Javed Akhtar

Ghazal – Shauk Ki Intaha

Humare Shauk Ki Ye Intaha Thi
Kadam Rakha Ki Manzil Raasta Thi

Bichhad Ke Daar Se Ban-Ban Fira Voh
Hiran Ko Apni Kastoori Saza Thi

Kabhi Jo Khwab Tha Voh Paa Liya Hai
Magar Jo Kho Gyi Voh Cheez Kya Thi

Main Bachpan Mein Khilone Todta Tha
Mere Anzaam Ki Voh Ibtada Thi

Mohabbat Mar Gyi Mujhko Bhi Gham Hai
Mere Achhe Dino Ki Aashna Thi

Jise Chhoo Looon Voh Ho Jaye Sona
Tujhe Dekha To Jana Bad-Dua Thi

Mareeze-Khwab Ko To Ab Shafa Hai
Magar Duniya Badi Kadvi Dawa Di…

– Javed Akhtar

Kuch Waqt Do

Kuch Waqt Do Ke Sambhl Sakun
Kuch Waqt Do Ke Tumhe Samajh Sakun
Kuch Waqt Do Ke Khud Se Keh Sakun
Ki Tum Hi Ho Vahi Jise Chaha Tha Kabhi…

Dard Ab Sambhlata Nahi

Dard Ab Itna Ki Sambhlata Nahi Hai
Tera Dil Mere Dil Se Milta Nahi Hai
Ab Aur Kis Tarah Pukaroon Main Tumhe
Tera Dil To Mere Dil Ki Sunta Bhi Nahi Hai…

– Neelam