शायरी क्या है?

शायरी एक काव्यात्मक अभिव्यक्ति का रूप है जो दक्षिण एशियाई साहित्य और संस्कृति में गहराई से रची-बसी है। इसकी उत्पत्ति फ़ारसी में हुई और बाद में यह उर्दू, हिंदी और अन्य क्षेत्रीय भाषाओं में फली-फूली। शायरी मानवीय भावनाओं के व्यापक दायरे को दर्शाती है — प्रेम और तड़प से लेकर दिल टूटने, आशा और कभी-कभी हास्य तक। और पढ़ें...

Dil Se Yaad Love Shayari

Dil Se Mere Yaad Jaati Nahi Unki,
Badi Suhaani Hai Dil Ki Baat Unki,

Kisi Parwat Se Badli Le Aao,
Fir Dekhna Angdai Unki,

Main Adaon Ki Charcha Kaise Karun,
Shabdon Se Alag Hai Har Ada Unki,

Is Rahnuma Se Na Tute Rista Mera,
Khusboo Lagti Hai Sondhi-Sondhi Unki…

Bewafa Humsafar Sad Shayari

Pyar Mein Tanhai Shayari

Duniya Se Bahut Door Nikal Aaye Hain,
Jab Bhi Pyar Ne Tere Hum Aazmaye Hain,

Meri Tanhai Ne Mujh Se Lipat Kar Kaha,
Ab Mere Nahi, Vo Paraaye Hain,

Bhool Jana Toh Ilzaam-E-Zafa Hoga,
Is Khauf Ko Na Bhool Paaye Hain,

Kaaton Ne Badh Kar Thaam Liya Daaman,
Jab Kabhi Phool Ke Kareeb Hum Aaye Hain…

Aitbaar Nahi Shayari

Mujhe Kisi Ki Wafaon Pe Eitbaar Nahi,
Jab Se Tu Mere Kareeb Mere Dildar Nahi,

Eh Sanam Dil Ko Mere Kisi Pal Karar Nahi,
Roo-B-Roo Mere, Bichhda Mera Yaar Nahi,

Meri Kahani Dukh-Dard, Udasi Mein Doobi Hai,
Meri Zindagi Mein Shamil Jab Se Tera Pyar Nahi…

Masoom Ada Sad Shayari
Bekarar Shayari
Eid Mubarak Shayari in Hindi Image
New Eid Mubarak Wish