Life Shayari

Zinda Shayari on Life

किसी दिन ज़िंदगानी में करिश्मा क्यूं नहीं होता,
मैं हर दिन जाग तो जाता हूं ज़िन्दा क्यूं नहीं होता।

– Rajesh Reddy

Rishte & Sapne Shayari

Sath Na Rehne Se Rishte Toota Nahin Kartey
Waqt Ki Dhoondh Se Lamhein Chhuta Nahin Kartey

Log Kehte Hain Ki Mera Sapna Toot Gaya
Toot-ti Neend Hai Sapne Toota Nahi Kartey …

Ek Roz Life Shayari

ज़रा सी चोट लगी, कि चलना भूल गए,
शरीफ लोग थे, घर से निकलना भूल गए,

तमाम शहर में घूमे किसी ने नहीं पहचाना,
हम एक रोज़ जो चेहरा बदलना भूल गए!

Sad Shayari on Life

Sad Shayari on life – The life is full of sorrow and there is nothing easy to get in life. There is a hidden but certain sadness in everybody’s life which makes feel so bad that sometime you just want to hide yourself somewhere. When you want to happy, life makes you sad, suddenly. There is a great bond between sadness and life. Then, these are the words of Shayari which brings the ray of hope in darkness of sad life. We at Shayari Network always try to craft the words which can calm down a restless soul living this heartbreaking life.

आँसू निकल पड़े…
इतना तो ज़िंदगी में, न किसी की खलल पड़े,
हँसने से हो सुकून, न रोने से कल पड़े,
मुद्दत के बाद उसने, जो की लुत्फ़ की निगाह,
जी खुश तो हो गया, मगर आँसू निकल पड़े।


इस मोहब्बत की किताब के,
बस दो ही सबक याद हुए,
कुछ तुम जैसे आबाद हुए,
कुछ हम जैसे बरबाद हुए।


तेरी आँखों में सच्चाई की एक राह दिखाई देती है,
तू है मोहब्बत का दीवाना ऐसी चाह दिखाई देती है,
माना कि ठोकर खाई है जमाने में बेवफाओं से,
पर तू आशिक है तुझमें मोहब्बत की चाह दिखाई देती है।


तुम अगर याद रखोगे तो इनायत होगी,
वरना हमको कहाँ तुम से शिकायत होगी,
ये तो बेवफा लोगों की दुनिया है,
तुम अगर भूल भी जाओ तो रिवायत होगी।


तेरे शहर में आ कर बेनाम से हो गए,
तेरी चाहत में अपनी मुस्कान ही खो गए,
जो डूबे तेरी मोहब्बत में तो ऐसे डूबे,
कि जैसे तेरी आशिक़ी के गुलाम ही हो गए।

Lakhte Jigar Shayari

lakhte-jigar-shayari

Mannato, Murado Ya Naseebo Se Milte Hai Lakhte Jigar
Phir Kyon Budhaape Mein Sataate Hain Lakhte Jigar

Jinki Khushi Key Liye Khoon Pasina Bahaya Har Din
Phir Kyon Budhaape Mein Khoon Key Aansoo Rulate Hain Lakhtey Jigar

Jinki Ek Aah Bhar Se Kaleja Phatt Jata Tha Arif
Phir Kyon Budhaape Mein Kaleja Phaad Dete Hain Lakhte Jigar …

– Mohd.Arif “Cheetal”

Sad Shayari on Love and Life

Tanhaiyon Ke Saaye Mein Chain Kahaan
Aankh Khul Jaye To Fir Khwab Kahaan

Jee Jalaate Hain Subah Ke Thande Jhonke
Kho Gye Mohabbat Ke Voh Nazaare Kahaan

Ishq Ik Mushqil Imtehaan Tha Pehle
Ab Mohabbat Ke Voh Aadab Kahaan

Ab Kahaan Wafa Karne Wale Milte Hain
Us Pak Zamaane Jaise Insaan Kahaan

Ab To Khud Ki Dhadkan Se Bhi Darta Hai Dil
Ab Is Dil Mein Dilbar Ka Ghar Kahaan

Duniya Sunsaan Hai Kisi Registaan Ki Trah
Pehle Wali Voh Mehfilein Haseen Kahaan…

Zindagi – Javed Akhtar Ghazal

शायरी नेटवर्क पेश करते हैं एक महान शायर जावेद अख़्तर साहब द्वारा लिखी ग़ज़ल इस ज़िन्दगी के नाम, कृपा अपने विचार और कमेंट जरूर साँझे कीजिये।
Shayari Network presents a great Ghazal written by a great Indian poet Javed Akhtar Sahab upon the life, please share your thoughts and comment.

Ghazal…

Bahana Dhundhte Rehte Hain Koi Rone Ka,

Humein Yeh Shauq Hai Kya Aasteen Bhigone Ka

Agar Palak Per Hai Moti To Ye Nhi Kaafi
Hunar Bhi Chahiye Alfaaz Mein Pirone Ka

Jo Fasal Khwab Ki Taiyaar Hai To Yeh Jaano
Ki Waqt Aa Gya Fir Dard Koi Bone Ka

Yeh Zindagi Bhi Ajab Karobaar Hai
Ki Mujhe Khushi Hai Paane Ki Koi Na Ranj Khone Ka

Hai Chaknachoor Magar Fir Bhi Muskurata Hai
Voh Chehra Jaise Ho Toote Huye Khiline Ka…

– Javed Akhtar


Hindi Script

बहाना ढूँढ़ते रहते हैं कोई रोने का
हमें ये शौक़ है क्या आस्तीन भिगोने का

अगर पलक पर है मोती तो ये नहीं काफ़ी
हुनर भी चाहिए अल्फ़ाज़ में पिरोने का

जो फ़सल ख्वाब की तैयार है तो ये जानो
की वक़्त आ गया फिर दर्द कोई बोने का

ये ज़िन्दगी भी अजब कारोबार है
की मुझे ख़ुशी है पाने की कोई न रंज खोने का

है चकनाचूर मगर फिर भी मुस्कुराता है
वो चेहरा जैसे हो टूटे हुए खिलौने का

– जावेद अख़्तर

Yeh Kaisa Pyar Social Shayari

Wo Andhere Mein Milna, Milkar Ek Hona,
Hote Hi Bhor, Mach Jata Hai Shor,
Tu Kon, Mein Kon, Pehchaan Bikhar Jaaye,
Yeh Kaisa Pyar, Bna Vyapaar, Meri Samajh Na Aaye. (more…)

Pardes Mein Zindagi Shayari

Pardes Mein Zindagi Kaise Basar Hoti Hai,
Iss Baat Ki Musafir Ko Hi Khabar Hoti Hai,

Jab Hum Ek Doosre Se Mil Nahi Sakte,
Jo Haalat Idhr Hoti Hai Wohi Udhr Hoti Hai,

Main Har Pal Apni Mohabat Ka Izahar Nahi Karta,
Bar-Bar Kahi Jaane Waali Baat Ki Na Qadar Hoti Hai,

Kaun Pyara Humein Duaon Mein Yaad Rakhta Hai,
Hichki Aate Hi Iss Baat Ki Khabar Hoti Hai,

Do Waqat Ki Roti Se Zyada Ka Lalach Nahi Karte,
Thode Mein Bhi Apni Acchi Basar Hoti Hai…

– M.Asghar Mirpuri

Dil Ke Andar Veerana Shayari

Hum Kuch Aise Deewane Hain,
Jo Khud Se Begaane Hain,

Dastan-E-Laila Majnu Na Suna,
Yeh Qisse To Bade Purane Hain,

Logon Ke Labon Pe Ab,
Humaare Naam Ke Afsane Hain,

Duniya Ki Ronqein Raas Hain,
Dil Ke Andar Veerane Hain,

Mere Qatl Mein Jo Malawas They,
Wo Hath Asghr Ke Jane Pechane Hain…

– M.Asghar Mirpuri