Life Shayari

Latest Shayari in Hindi Language

मुसाफ़िराना सी है ज़िन्दगी,
कुछ मंज़िले अधूरी सी है,
कुछ ख़्वाब मुकम्मल हुए हैं,
बस कुछ थोड़े और बाकी है।

ना रात की गहराइयाँ दहला सकी,
न दिनों के मशरूफ़े हिला सके,
हैरान कम्भखत मेरे दिल ने कहा,
रहने दे अब जो भी बाकि है,

बीत गए कई लम्हे,
मौसम भागते भागते,
मंज़िले-ए-ख्वाहिश के चक्कर में,
कुछ सुकून मेरी रूह भी चाहती है,
कुछ दो पल का आराम अभी बाकि है,

भाग रहा हूँ न जाने किस ख़्वाब की चाहतों में,
हैरान परेशान थका हुआ सा,
आँखों में भरी बहुत नींद सी है,
डर तो इस बात का है के,
पागल दिल के फरमान अभी बाकि हैं,

मुसफ़िराना सी है ज़िन्दगी,
कुछ मंज़िले अधूरी सी है,
कुछ ख़्वाब मुकम्मल हुए हैं,
बस कुछ थोड़े और बाकी है।

– Hi This is Banshi Gurjar, a software professional, I am not much more eged but have seen the life very closely, an ambitious person with never ending dreams and never fading hard work, love to write in leisure.

Dil Pareshan Sad Shayari

Zindagi Ne Liya Hai Aisa Imtehan Mera
Sda Sathi Raha Hai Gham-E-Dauran Mera

Din Raat Rehta Hai Dil Pareshan Mera
Us Pe Nahi Hai Haal Ayan Mera

Us Se Baatein To Bauht Kehni Hoti Hain
Us Ke Samne Sath Nahi Deti Zuban Mera

Jo Shakhs Mujhey Saari Duniya Se Aziz Tha
Vohi Loot Kar Le Gya Sara Jahan Mera

Aandhian Charon Simat Mandla Rehi Hain
Kahi Gira Na Dein Wo Ashyaan Mera…

– M. Asghar Mirpuri

Rooh Ki Raat

Har Raat Roohein Kaide Tan Se chhut Jaati Hain
Kehne-Karne Ki Hadon Se Toot Jati Hain

Roohein Riha Hoti Hain Is Kafas Se Har Raat
Haakim Aur Kaidi Ho Jaate Sabhi Aazad

Vo Raat Jisme Kaidi Kafas Se Bekhabar Hain
Aur Shah Jo Apni Daulat Se Bekhabar Hai

Khone-Paane Ka Koi Dar Nhi Aur Gham Nahi
Na Pyar Is Se, Us Se Kuch Bereham Nahi

Sufiyon Ka Haal Ye Hai Bin Soye Hardam
Ve So Chuke Hote Jabki Jaage Hain Dekhte Hum

So Chuke Duniya Se Aise, Din Aur Raat Mein
Dikhe Nahi Rab Ka Kalam Jaise Juske Hath Mein…

– Rumi

2 Line Shayari on Life – Javed Akhtar

Un Chiraagon Mein Tel Hi Kam Tha
Kyon Gila Fir Humein Hawa Se Rahe

Meri Buniyaadon Mein Koi Tedh Thi
Apni Deewaron Ko Kya Ilzaam Doon

Voh Nehar Ek Kissa Hai Duniya Ke Vaaste
Ferhaad Ne Taraasha Tha Khud Ko Chattaan Per

Thakaan Se Choor Paas Aaya Tha Iske
Gira Sote Mein Mujh Per Ye Shajar Kyon?

Ek Khilona Jogi Se Kho Gya That Bachpan Mein
Dhundhta Fira Vo Nagar-Nagar Tanha

Raat Sar Per Hai Aur Safar Baaki
Humko Chalna Zara Savere Tha

Sab Hawayein Le Gaya Mere Samander Ki Koi
Aur Mujhko Ek Kashti Baadbaani De Gaya

Pehle Bhi Kuch Logon Ne Joun Bo Kar Genhoo Chaha Tha
Hum Bhi Umeed Mein Hain Lekin Kab Aisa Hota Hai

Ai Safar Itna Bekaar To Na Ja
Na Ho Manzil, Kahin To Pahuncha De

Kam Se Kam Usko Dekh Lete The
Ab Ke Sailaab Mein Vo Pull Bhi Gya

Aaj Ki Duniya Mein Jeene Ka Kareena Samjho
Jo Mile Pyar Se Un Logo Ko Zeena (Ladder) Samjho

Gali Mein Shor Tha Matam Tha Aur Hota Kya
Main Ghar Mein Tha Magar Is Gul Mein Koi Sota Kya

Is Shehar Mein Jeene Ke Andaaz Niraale Hain
Hontho Pe Lateefe Hai Aawaz Mein Chhaale Hain

Apni Vajahe-Barbaadi Suniye To Maje Ki Hai
Zindagi Se Yoon Khele Jaise Dusre Ki Hai

Sab Ka Khushi Se Faasla Ek Kadam Hai
Har Ghar Mein Bas Ek Hi Kamra Kam Hai

Humko Uthna To Munh Andhere Tha
Lekin Ik Khwab Humko Ghere Tha

Khush-Shakal Bhi Hai Vo, Ye Alag Baat Hai, Magar
Humko Jaheen Log Hamesha Ajeej The

Kaun Sa Sher Sunayun Main Tumhe, Sochta Hun
Nya Uljha Hai Bahut Aur Purana Mushkil

Gin-Gin Ke Sikke Hath Mera Khurdura Hua
Jaati Rhi Vo Spars Ki Narmi, Bura Hua.

Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Gya
Kuch Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gye.

– Javed Akhtar

Apne Dost Ke Makaan

Ek Shakhs Gya Kabhi Apne Dost Ke Makaan
Puchha Dost Ne Ander Se, Hai Kaun Meharbaan

Kaha Main Hoon, To Bola Ki Ghadi Nhi Ye Aane Ki
Jagah Nhi Mez Per Meri, Kacchon Ko Samaane Ki

Kacche Ko Rakho Alag, Judai Ki Aag Ke Vaaste
Kaise Pakaayein? Bachayein Kaise Jaane Se Fareb Ke Raaste?

Vaaps Hua Bechara, Bhatakta Raha Saal Bhar
Jalta Raha Judai Ke Sholon Ki Aag Per

Laut Aaya Vo Gareeb Jab Pakk Gya Jal Kar
Lagaane Laga Fir Yaar Ke Ghar Ke Voh Chakkar

Sau Hichak Aur Dar Se Bhar Kar Di Thapki
Lab Se Mere Kahin Ho Jaye Kuch Be-Adubi

Pukara Yaar Ne Hai Kaun Jise Milne Ki Hai Aarzoo
Bola Ki Aye Dilniwaz Aur Koi Nhi, Hai Tu

To Kaha Ki Ab Tum Ho Mere Mein, To Fir Ander Aao
Mere Mein, Is Ghar Ke Ander Hai Nhi Do Ki Jaa*

* Jaa = Jagag, Space.

Roti Ka Ishq

Ek Sufi Ne Dastarkhan Dekha Khoonti Per Tanga
Bas Vahin Labade Ko Faad Sufi Naachne Laga

Dekho Besaharon Ka Sahara, Usne Fir Kaha
Dekho Voh Tangi Hai Dard Aur Killat Ki Dava

Darvesh Ne Us Shor O Gull Ko Itna Badhaya
Ki Sufi Tha Jo Bhi Us Tak Daura Aaya

Chillaya Haye-Hoo Aur Khoob Maare Thahaake
Ho Gye Mast Bekhudi Ki Mey Pee-Pee Ke

Kehne Laga Ek Befizool Ke Ye Kya Hai
Dastarkhan Mein Roti Nahi Bas Hawa Hai

Bole Sufi Ke Bhaag Ja Tasveer Be-imaani Hai Tu
Hai Hasti Ke Peeche, Tujhe Nhi Kuch Ishq Ki Boo

Roti Nahi, Roti Ka Ishq Sufi Ki Khurak Hai
Jo Bhi Saccha Hai Aashiq, Hasti Se Aazad Hai

Aashiqon Ke Liye Bilkul Bekar Hai Wajood
Bin Sarmaya Aashiqon Ko Milta Hai Sood…

– Jalaluddin Rumi