Urdu Shayari

Pyar Mein Betaab Dil

Maayus Dil Mein, Dil-E-Nakaam Ho Gaya,
Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya,

Main Har Tarah Se Doshi Ho Gaya,
Galati Ki Kisi Aur Ne, Naam Mera Ho Gaya,

Is Tashanagi Ki Aag, Usi Se Bujhi,
Main Paani Peete-Peete, Sharabi Ho Gaya,

Aashiq Ki Kamzori Ki Kuchh Intehaan Nahi,
Gaya Wahan Jahan Is Jeewan Ka Islaam Ho Gaya,

Dil Mera Bataab Hai Uske Pyar Ke Liye,
Aankhen Pyala Ho Gayi Dil Jaam Ho Gaya,

Rahta Hai Apna Mukaddar Bhi Apne Saath,
Wahan Bhi Pyar Ke Maaron Mein Shamil Ho Gaya,

Duniya Mein Har Mash-hoor Aadmi Paise Ka Gulam Hai,
Lekin Woh Toh Aapka Gulam Ho Gaya,

Maayush Dil Mein Dil-E-Nakaam Ho Gaya,
Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya…

Gunaah Tarze-Nigaah

Gine Huye Kadam Inhraaf Kya Hote
Gunaah Tarze-Nigaah Tha, Maaf Kya Hota

Jhuki Hui Meir Aakhein, Sile Huye Mere Lab
Ab Is Se Badh Kar Tera Etraaf Kya Hota

Khud Apni Vehshate-Jaan Se Wafa Na Ki Hum Ne
Zamana Aur Humare Khilaaf Kya Hota

Diye To Ab Bhi Diye Hain Vo Bazm Ho Ki Harm
Bhujhe Huye Dilon-Jaan Se Tavaaf Kya Hota

Sitara Tha Bhi To Aansu Ki Istaara Tha
Kisi Falak Ka Yahan Inkishaf Kya Hota

Vahi Gubaare-Tammana, Vahi Shamime Dua
Tu Rozo Shab Mein Mere Ikhtilaaf Kya Hota…

– Parveen Shakir

Kya Mera Haal Hai

Main Khud Bhi Sochta Hoon Ye Kya Mera Haal Hai
Jiska Jawaab Chahiye Vo Kya Sawal Hai

Ghar Se Chala To Dil Ke Siva Pass Kuch Na Tha
Kya Mujhse Kho Gya Hai Mujhe Kya Malaal Hai

Aasoodagi Se Dil Ke Sabhi Daag Dhull Gye
Lekin Voh Kaise Jaaye Jo Sheeshe Mein Baal Hai

Majboor Hoon Aaj To Ilzaam Kisko Doon
Kal Maine Hi Buna Tha Ye Mera Hi Jaal Hai

Fir Koi Khwaab Dekhun, Koi Aarzoo Karun
Ab Eh Dil-E-Tabaab Tera Kya Khyaal Hai…

– Javed Akhtar

Gham Hotein Hain Jahaan

Gham Hotein Hain Jahaan Zahaanat Hoti Hai
Duniya Mein Har Shay Ki Keemat Hoti Hai

Aksar Vo Kehte Hain Voh Bas Mere Hain
Aksar Kyun Kehte Hain Hairat Hoti Hai

Tab Hum Dono Waqt Chura Kar Laate The
Ab Milte Hain Jab Bhi Fursat Hoti Hai

Apni Mehbooba Mein Apni Maa Dekhein
Bin Maa Ke Ladkon Ki Fitrat Hoti Hai

Ik Kashti Mein Ek Kadam Hi Rakhtein Hain
Kuch Logon Ki Aisi Aadat Hoti Hai…

– Javed Akhtar

Khwab Ke Gaon Mein

Khwab Ke Gaon Mein Pale Hain Hum
Paani Chhalni Mein Le Chale Hain Hum

Chhaachh Foonkein Ki Apne Bachpan Mein
Doodh Se Ki Trah Jale Hain Hum

Khud Hain Apne Safar Ki Dushwari
Apne Pairon Ke Aable Hain Hum

Tu To Mat Keh Humein Bura Duniya
Tune Dhala Hain Aur Dhale Hain Hum

Kyun Hain Kab Tak Hain Kiski Khatir Hain
Bade Sanjeeda Mass-ale Hain Hum…

– Javed Akhtar

Aarzoo Ke Phool

Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool
Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool

Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf
Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool

Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi
Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool

Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Per
Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justazoo Ke Phool

Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein
Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool…

– Javed Akhtar

Darindagi Ke Aage Darinda

Jungle Mein Ghumta Hai Pehron, Fikre-Shikar Mein Darinda
Ya Apne Zakhm Chaat-Ta Hai, Tanha Kchhaar Mein Darinda

Baaton Mein Dosti Ka Amrit, Seeno Mein Zehar Nafraton Ka
Parbat Pe Phool Khil Rahe Hain, Baitha Hai Gaar Mein Darinda

Zeheni Ygaanagat Ke Aage, Thi Khwahishein Khazil Badan Ki
Chattaan Per Baitha Chaand Taake, Jaise Kunwaaron Mein Darinda

Gaanv Se Sehar Aane Wale, Aaye Nadi Pe Jaise Pyaase
Tha Muntzir Unhi Ka Kab Se, Ik Rozgaar Mein Darinda

Majhab, Na Jang, Na Siyasat, Jaane Na Jaat-Paat Ko Bhi
Apni Darindagi Ke Aage, Hai Kis Shoomar Mein Darinda…

– Javed Akhtar

Wahan Nahi Hoti

Shayari Wahan Hai
Jahan Shayari Nahi Hoti

Roshni Wahan Hai
Jahan Roshni Nahi Hoti

Aadmi Wahan Hai
Jahan Aadmi Nahi Hota

Shayari Ke Lafzon Mein
Roshni Ki Shamaon Mein

Aadmi Ke Chehron Mein
Justjoo Hai Bemaani

Ab Jahan Bhi Jo Shay Hai
Vo…!
Wahan Nahi Hoti…

– Nida Fazli