Ghazal – Shauk Ki Intaha

Humare Shauk Ki Ye Intaha Thi
Kadam Rakha Ki Manzil Raasta Thi

Bichhad Ke Daar Se Ban-Ban Fira Voh
Hiran Ko Apni Kastoori Saza Thi

Kabhi Jo Khwab Tha Voh Paa Liya Hai
Magar Jo Kho Gyi Voh Cheez Kya Thi

Main Bachpan Mein Khilone Todta Tha
Mere Anzaam Ki Voh Ibtada Thi

Mohabbat Mar Gyi Mujhko Bhi Gham Hai
Mere Achhe Dino Ki Aashna Thi

Jise Chhoo Looon Voh Ho Jaye Sona
Tujhe Dekha To Jana Bad-Dua Thi

Mareeze-Khwab Ko To Ab Shafa Hai
Magar Duniya Badi Kadvi Dawa Di…

– Javed Akhtar

Her Lamha Tera Ehsaas

Tera Intezaar Mujhe Har Pal Rehta Hai
Her Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai
Tujh Bin Dhadkane Rukk Si Jaati Hai
Ki Tu Mere Dil Me Meri Dhadkan Banke Rehta Hai…

– Afreen

Kuch Waqt Do

Kuch Waqt Do Ke Sambhl Sakun
Kuch Waqt Do Ke Tumhe Samajh Sakun
Kuch Waqt Do Ke Khud Se Keh Sakun
Ki Tum Hi Ho Vahi Jise Chaha Tha Kabhi…

Tarshe Mann Mera

Teri Awaaz Sunne Ko Tarshe Hai Mann Mera
Teri Ek Jhalak Paane Ko Bekarar Hai Mann Mera
Apni Zindagi Ka Har Lamha Tere Saath Guzaru
Har Pal Bas Yehi Chahta Hai Mann Mera…

– Afreen

Dard Ab Sambhlata Nahi

Dard Ab Itna Ki Sambhlata Nahi Hai
Tera Dil Mere Dil Se Milta Nahi Hai
Ab Aur Kis Tarah Pukaroon Main Tumhe
Tera Dil To Mere Dil Ki Sunta Bhi Nahi Hai…

– Neelam

Kalyung Mein Ladki Ki Haalat

Chehre Ko Dupatte Se Dhak Kar Nikalti Hai
Ghabarai Hui Si Galiyon Se Wo Gujarti Hai
Halki See Aahat Pe Hi Wo Darti Hai
Kalyug Me Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai

Ajnabiyon Se Baat Karne Se Darti Hai
Duniya Se Najar Chura-Chura Kar Nikalti Hai
Samaj Ke Reevajon Ki Aag Mein Jalti Hai
Kalyug Me Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai

Andhera Hone Se Pehle Ghar Pahunchti Hai
Ghar Ki Char Deewari Mein Qaid Rehti Hai
Ladki Bojh Hone Ka Samaaj Se Taana Sehti Hai
Kalyug Mein Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai

Chand Daamo Mein Jism Farosho Se Bikti Hai
Janam Lene Se Pehle Hee Marti Hai
Apne Sapne Chhod Dusron Ke Sapne Jeeti Hai
Kalyug Me Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai…

– Aprachit

Khuda Bachaye Buri Nazar Se

Wo Milne Ko Aaye Hai Sajj Sanwar Ke Ghar Se
Gaalon Par Aaya Hai Rang Gulabi Sa Nikhr Ke

Kehte Hain Wo Yeh Chehre Par Noor Hai Jo
Hai Bas Aapki Hee Mohabbat Ke Asar Se

Bas Itna Hee Chahun Main Rab Se Dua Mein
Dunia Ko Dekhun To Bas Teri Pyar Bhri Najar Se

Pyar Bhari Baton Mein Kho Jaate Hai Is Qadar
K Hum Ho Jaate Hai Puri Dunia Se Bekhabar Se

Dil Bhi Yahi Fariyad Karta Hai Ab Mera
Waqt Gujre Uski Hi Bahon Me Sham Tak Sehar Se

Har Janam Mein Mujhe Sath Mile Bas Usi Kaa
Khuda Bachaye Hmari Mohabbat Ko Buri Najar Se…

– Aprachit

Wahan Nahi Hoti

Shayari Wahan Hai
Jahan Shayari Nahi Hoti

Roshni Wahan Hai
Jahan Roshni Nahi Hoti

Aadmi Wahan Hai
Jahan Aadmi Nahi Hota

Shayari Ke Lafzon Mein
Roshni Ki Shamaon Mein

Aadmi Ke Chehron Mein
Justjoo Hai Bemaani

Ab Jahan Bhi Jo Shay Hai
Vo…!
Wahan Nahi Hoti…

– Nida Fazli

He Can Be Found

Ekonkar Satnam,

I am dedicating first post of shayari.net to my God, Akal Purakh…

He is the number One power and source of life
He protect and nurture his creatures without any cost
I should remember him forever, in Indulgence, I should not be lost
Otherwise, the fires of Hell make the souls so roast

By praising the God, He can be Found
Listening of the internal sounds
I can heal up the soul from the wounds
And by making my soul pure, God can be Found.

– Laddi

My English I very weak, but I tried to write something in the praise of God, I hope every reader would be able to understand what I try to say.

Gunaah Tarze-Nigaah

Gine Huye Kadam Inhraaf Kya Hote
Gunaah Tarze-Nigaah Tha, Maaf Kya Hota

Jhuki Hui Meir Aakhein, Sile Huye Mere Lab
Ab Is Se Badh Kar Tera Etraaf Kya Hota

Khud Apni Vehshate-Jaan Se Wafa Na Ki Hum Ne
Zamana Aur Humare Khilaaf Kya Hota

Diye To Ab Bhi Diye Hain Vo Bazm Ho Ki Harm
Bhujhe Huye Dilon-Jaan Se Tavaaf Kya Hota

Sitara Tha Bhi To Aansu Ki Istaara Tha
Kisi Falak Ka Yahan Inkishaf Kya Hota

Vahi Gubaare-Tammana, Vahi Shamime Dua
Tu Rozo Shab Mein Mere Ikhtilaaf Kya Hota…

– Parveen Shakir

ऊपर तक पहुंच वाले लोग

जो लोग कहते हैं ना कि हमारी पहुंच ऊपर तक है…
.
.
.
जरा ऊपर वाले से बोलकर
थोड़ी ठंड कम करवा दें।

आलोक, कानपुर

Dil Ke Kareeb

ज़रा सी ज़िंदगी है, अरमान बहुत हैं,
हमदर्द नहीं कोई, इंसान बहुत हैं,
दिल के दर्द सुनाएं तो किसको,
जो दिल के करीब है, वो अनजान बहुत है।

सर्दियों में नहाने के फनी फायदे

वे तुम्हें रोज
नहाने के फायदे बताएंगे…
.
.
.

लेकिन तुम ‘जल है तो कल है’ पर अड़े रहना।

अवनीश, ग्रेटर कैलाश

Best Dard-E-Dil Shayari, SMS

Dard-E-Dil Hai Mere Paas,
Khusiyaan Le Gaye Woh Sahnayi Ke Saath,
Jamane Bhar Ka Sara Dard De Diya,
Sab Kuchh Le Gaye Woh Sahnayi Ke Saath…

++++

Sab Kuchh Sah Liya Hamne,
Derd E Dil Saha Nahi Jata,
Laash Se Badttar Zindagi Ho Gayi,
Eh Zalim Ab Humse Zinda Raha Nhi Jata…

++++

Dard E Dil Kam Na Hoga Eh Sanam,
Aapki Mahfil Se Jaane Ke Baad,
Naam Badnaam Hamara Hoga Eh Sanam,
Aapki Zindagi Se Jaane Ke Baad…

++++

Dard-E-Dil Mila Hai Pyar Mein,
Tumse Pyar Hamein Ab Bhi Hai,
Hum Toh Bewafa Hain Eh Sanam,
Tum Pe Eitbaar Hamein Aaj Bhi Hai…

++++

Sukun Maut Mein Hai Eh Sanam,
Ab Toh Bas Dard E Dil Se Darte Hain,
Zakham Mile Hain Pyar Mein Itne Ke,
Ab Toh Hum Paigam-E-Wafa Se Darte Hain…

++++

Dard E Dil Chhupa Kar Rakhenge,
Eh Dost Hum Shola Daba Kar Rakhenge,
Tum Shauk Se Byaah Racha Lena,
Eh Bewafa Hum Kafan Mangwakar Rakhenge…

++++

Dard E Dil Sahkar Pyar Mein,
Hum Unki Umar Ki Dua Karte Hain,
Woh Kahte Hain Hamein Sanam Bewafa,
Hum Toh Unki Salamti Ki Dua Karte Hai…

++++

Dard E Dil Milta Hai Jahan Mein,
Diwane Pyar Nibhate Aaye Hain,
Duniya Wale Bhi Jahaan Mein,
Mohabbat Ki Arthi Uthate Aaye Hain…

++++

Woh Dard-E-Dil Sunana Chahte Hain,
Par Zubaan Bebas Hai, Khamosh Rahti Hai,
Tapak Padte Hain Sanam Aansu Mere,
Bas Hamari Dhadakan Dhadakti Rahti Hai…

++++

Bawafa Kahte Ho Mujhe Tum Eh Sanam,
Dard-E-Dil Satata Hai Aapke Pyar Mein,
Hamne Tujhe Pooja Hai Khuda Ki Tarha,
Tera Pyar Hi Laya Hai Hamein Bazaar Mein…

++++

Dard-E-Dil Ki Dawa Ke Liye,
Tanhai Mein Ashq Bahata Hoon,
Sukun Milta Hai Zamane Ko,
Jab Uski Judai Mein Ashq Bahaata Hoon…

++++

Dard-E-Dil Hai Paas Mere,
Aankho Mein Tasveer Tumari Hai,
Har Khushi Hai Paas Tere,
Teri Zulphon Mein Zannat Hamari Hai…

++++

Dard-E-Dil Mila Hai Wafa Mein,
Saath Mein Tanhaiyon Ke Mele Hain,
Kuchh Bhi Nahi Paas Mere Eh Sanam,
Aaj Sajan Tumhare Tanhaa Aur Akele Hain…

++++

Dard E Dil Sunaye Kaise Eh Sanam,
Aap Toh Sir Jhukakar Baithhe Hain,
Kaise Pakde Aapki Gouri Kalayi,
Aap Toh Mehndi Laga Kar Baithhe Hain…

++++

Dard-E-Dil Jab Hadd Se Gujar Jata Hai,
Bankar Syahi Kaagaj Pe Bikhar Jata Hai,
Jab-Jab Uthha Hai Teri Yaadon Ka Dhuan,
Bankar Nashtar Is Dil Mein Utar Jata Hai…