Zindagi Shayari

Zindagi – Javed Akhtar Ghazal

शायरी नेटवर्क पेश करते हैं एक महान शायर जावेद अख़्तर साहब द्वारा लिखी ग़ज़ल इस ज़िन्दगी के नाम, कृपा अपने विचार और कमेंट जरूर साँझे कीजिये।
Shayari Network presents a great Ghazal written by a great Indian poet Javed Akhtar Sahab upon the life, please share your thoughts and comment.

Ghazal…

Bahana Dhundhte Rehte Hain Koi Rone Ka,

Humein Yeh Shauq Hai Kya Aasteen Bhigone Ka

Agar Palak Per Hai Moti To Ye Nhi Kaafi
Hunar Bhi Chahiye Alfaaz Mein Pirone Ka

Jo Fasal Khwab Ki Taiyaar Hai To Yeh Jaano
Ki Waqt Aa Gya Fir Dard Koi Bone Ka

Yeh Zindagi Bhi Ajab Karobaar Hai
Ki Mujhe Khushi Hai Paane Ki Koi Na Ranj Khone Ka

Hai Chaknachoor Magar Fir Bhi Muskurata Hai
Voh Chehra Jaise Ho Toote Huye Khiline Ka…

– Javed Akhtar


Hindi Script

बहाना ढूँढ़ते रहते हैं कोई रोने का
हमें ये शौक़ है क्या आस्तीन भिगोने का

अगर पलक पर है मोती तो ये नहीं काफ़ी
हुनर भी चाहिए अल्फ़ाज़ में पिरोने का

जो फ़सल ख्वाब की तैयार है तो ये जानो
की वक़्त आ गया फिर दर्द कोई बोने का

ये ज़िन्दगी भी अजब कारोबार है
की मुझे ख़ुशी है पाने की कोई न रंज खोने का

है चकनाचूर मगर फिर भी मुस्कुराता है
वो चेहरा जैसे हो टूटे हुए खिलौने का

– जावेद अख़्तर

Dil Pareshan Sad Shayari

Zindagi Ne Liya Hai Aisa Imtehan Mera
Sda Sathi Raha Hai Gham-E-Dauran Mera

Din Raat Rehta Hai Dil Pareshan Mera
Us Pe Nahi Hai Haal Ayan Mera

Us Se Baatein To Bauht Kehni Hoti Hain
Us Ke Samne Sath Nahi Deti Zuban Mera

Jo Shakhs Mujhey Saari Duniya Se Aziz Tha
Vohi Loot Kar Le Gya Sara Jahan Mera

Aandhian Charon Simat Mandla Rehi Hain
Kahi Gira Na Dein Wo Ashyaan Mera…

– M. Asghar Mirpuri

Teri Zindagi Mein Shayari

Teri Zindagi Mein Kabhi Koi Na Gham Aaye
Tere Muqadar Mein Har Khushi Sanam Aaye

Teri Aarzoo Ka Chaman Sda Mehkta Rahe
Tere Qareeb Na Kabhi Koi Ranj-O-Aalm Aaye

Teri Zindagi Duniya Ki Khushion Se Bhri Rahe
Ghamo Ki Na Kabhi Koi Shaam Aaye

Koi Pareshani Tere Qareeb Na Aane Paye
Teri Zindagi Mein Koi Na Paich-O-Kham Aaye

Asghar Ki Faqat Yehi Tamanna Hai Jana
Ke Tere Sath Mera Bhi Naam, Aaye…

– M. Asghar Mirpuri

Tere Bagair Zindagi Shayari

Aankh Ashqon Se Khoonbaar Hui Jaati Hai
Zindagi Baes-E-Aazaar Hui Jaati Hai

Hamara Milna Bhi Ab Khawab Lagta Hai
Hamaare Darmiyaan Judai Deewar Hui Jaati Hai

Na Jaane Vasal Ki Shab Kab Aaye Gi
Ab To Saans Bhi Dashwaar Hui Jaati Hai

Main Isey Kaise Zindagi Keh Doon
Jo Basar Tere Bagair Hui Jaati Hai…

– M. Asghar Mirpuri

Zindagi Haseen Love Shayari

Us Ki Surat Gulab Jaisi Hai,
Ankhon Ki Masti Sharab Jaisi Hai,

Us Se Baat Kar Ke Yun Lagta Hai,
Yeh Zindagi Haseen Khawab Jaisi Hai…

– M. Asghar Mirpuri

Udas Zindagi Poetry

Saya – Sad Shayari on Yaadein

Raaton Ka Manzar Azeeb Lagta Hai,
Saya Teri Yaadon Ka Kareeb Lagta Hai,

Lahrein Aakar Waapis Ho Jaati Hai,
Woh Sahil Tanha Azeeb Lagta Hai,

Usko Yaadon Ki Keemat Ka Pata Hai,
Tabhi Toh Woh Dil Ka Mareez Lagta Hai,

Woh Sanam Maayus Hai Toh Kya Hua,
Fir Bhi Woh Mera Habeeb Lagta Hai…

Tu Meri Zindagi Hai

Tujhe Chahte Hain Eh Sanam Bas Teri Aarjoo Hai,
Tu Zindagi Hai Meri, Tu Meri Har Khushi Hai,

Mujhe Duniya Se Garaj Kya Tu Meri Justju Hai,
Bas Tere Dam Se Hamdam Meri Duniya Hanshi Hai,

Haathon Mein Tere Sanam Mere Pyar Ki Aabroo Hai,
Tere Naam Par Kurbaan Meri Jaan-O-Zindagi Hai,

Tu Saamne Hai Mere Toh Khuda Roo-B-Roo Hai,
Tu Hi Chahton Ki Manzil, Tu Hi Meri Bandagi Hai,

Tujhe Chahte Hain Eh Sanam Bas Teri Aarjoo Hai,
Tu Zindagi Hai Meri, Tu Meri Har Khushi Hai…