शायरी क्या है?

शायरी एक काव्यात्मक अभिव्यक्ति का रूप है जो दक्षिण एशियाई साहित्य और संस्कृति में गहराई से रची-बसी है। इसकी उत्पत्ति फ़ारसी में हुई और बाद में यह उर्दू, हिंदी और अन्य क्षेत्रीय भाषाओं में फली-फूली। शायरी मानवीय भावनाओं के व्यापक दायरे को दर्शाती है — प्रेम और तड़प से लेकर दिल टूटने, आशा और कभी-कभी हास्य तक। और पढ़ें...

Wahan Nahi Hoti

Shayari Wahan Hai
Jahan Shayari Nahi Hoti

Roshni Wahan Hai
Jahan Roshni Nahi Hoti

Aadmi Wahan Hai
Jahan Aadmi Nahi Hota

Shayari Ke Lafzon Mein
Roshni Ki Shamaon Mein

Aadmi Ke Chehron Mein
Justjoo Hai Bemaani

Ab Jahan Bhi Jo Shay Hai
Vo…!
Wahan Nahi Hoti…

– Nida Fazli

Mohabbat Ki Gham Bhari Shayari

Mere Dil Mein Jis Shakhs Ka Qyaam Hai Dosto
Meri Nazar Mein Uska Baut Uncha Maqaam Hai Dosto

Humaari Mohabbat Ki Duniya Ko Khabar Hone Lagi Hai
Aajkal Humaare Pyar Ka Charcha Aam Hai Dosto

Khuda Kare Usey Meri Bhi Sabhi Khushiyan Mil Jayein
Mere Sath Uske Gham Ki Shaam Hai Dosto

Ab To Kisi Se Baat Karna Acha Nahi Lagta
Din Raat Honthon Pe Usi Ka Naam Hai Dosto

Asghr Ko Gham Dene Waley Tu Sadaa Khush Rah
Uske Liye Mera Yehi Aakhri Paigham Hai Dosto …

– M.Asghar Mirpuri

Aitbaar Nahi Shayari

Mujhe Kisi Ki Wafaon Pe Eitbaar Nahi,
Jab Se Tu Mere Kareeb Mere Dildar Nahi,

Eh Sanam Dil Ko Mere Kisi Pal Karar Nahi,
Roo-B-Roo Mere, Bichhda Mera Yaar Nahi,

Meri Kahani Dukh-Dard, Udasi Mein Doobi Hai,
Meri Zindagi Mein Shamil Jab Se Tera Pyar Nahi…

Hain Naashaad Sab

Ye Tassalli Hai Ki Hain Naashaad Sab
Main Akela Hi Nhi Barbaad Sab

Sabki Khatir Hain Yahaan Sab Ajnabi
Aur Kehne Ko Hain Ghar Aabaad Sab

Bhoolke Sab Ranjishein, Sab Ek Hain
Main Batayun Sabko Hoga Yaad Sab

Sabko Daava-E-Wafa Sabko Yakeen
Is Adakari Mein Hain Ustaad Sab

Shehar Ke Haakim Ka Ye Farmaan Hai
Kaid Mein Kehlaayenge Aazad Sab

Chaar Lafzon Mein Kaho Jo Bhi Kaho
Usko Kab Fursat Sune Fariyaad Sab

Talkhiyaan Kaise Na Hon Ashaar Mein
Hum Pe Jo Gujari Humein Hai Yaad Sab…

– Javed Akhtar

Dost Ki Jarurat Shayari

ऐ दोस्त हम ने तर्क़-ए-मोहब्बत के बावजूद,
महसूस की है तेरी ज़रूरत कभी-कभी।

– नासिर काज़मी

Dil Fida Shayari

Mera Dil Jis Pr Fida Hai
Vohi Mujh Se Juda Hai

Main Ne Kab Kaha Ke Tanha Hoon
Mere Sath Mera Khuda Hai

Main Kyon Naa Usey Pyar Karun
Wo Mere Dil Ki Nida Hai

Us Se Bichhar Kr Yun Lagta Hai
Jaise Yeh Jeevan Ik Saza Hai

Wo Jahan Bhi Rahe Khush Rahe
Asghr Ke Dil Ki Yehi Dua Hai…

– M. Asghar Mirpuri