Dil Ka Sauda

Pyar Ka Souda Jazbaat Se Hota Hai,
Dil Ka Souda Ek Mulakaat Se Hota Hai,

Yun Toh Keemat Hoti Hai Har Soude Ki,
Haseeno Ka Souda Aaishq Ki Jaan Se Hota Hai,

Nazrein Milte Hi Nazara Badal Jata Hai,
Saaz Par Aate Hi Tarana Badal Jata Hai,

Paigam E Wafa Toh Sabhi Bhejte Hain,
Aajmaish Ke Waqt Par Jamana Badal Jata Hai,

Fijaon Mein Bhi Baharon Ka Naam Aata Hai,
Aaj Har Jubaan Par Mera Naam Aata Hai,

Jab Bhi Koi Padhta Hai Kalam Mera,
Har Jubaan Par Sanam Tera Naam Aata Hai…