Roti Ka Ishq

Ek Sufi Ne Dastarkhan Dekha Khoonti Per Tanga
Bas Vahin Labade Ko Faad Sufi Naachne Laga

Dekho Besaharon Ka Sahara, Usne Fir Kaha
Dekho Voh Tangi Hai Dard Aur Killat Ki Dava

Darvesh Ne Us Shor O Gull Ko Itna Badhaya
Ki Sufi Tha Jo Bhi Us Tak Daura Aaya

Chillaya Haye-Hoo Aur Khoob Maare Thahaake
Ho Gye Mast Bekhudi Ki Mey Pee-Pee Ke

Kehne Laga Ek Befizool Ke Ye Kya Hai
Dastarkhan Mein Roti Nahi Bas Hawa Hai

Bole Sufi Ke Bhaag Ja Tasveer Be-imaani Hai Tu
Hai Hasti Ke Peeche, Tujhe Nhi Kuch Ishq Ki Boo

Roti Nahi, Roti Ka Ishq Sufi Ki Khurak Hai
Jo Bhi Saccha Hai Aashiq, Hasti Se Aazad Hai

Aashiqon Ke Liye Bilkul Bekar Hai Wajood
Bin Sarmaya Aashiqon Ko Milta Hai Sood…

– Jalaluddin Rumi