Hindi Shayari

Deewana Shayari in Hindi for Love

Yeh Mausm Bhi Hai Deewana Aapka,
Eh Sanam Inayat Aapki Bahana Aapka,

Kuchh Raah-Geer Aaye Wahaan Se,
Shayad Laye Hon Afsana Aapka,

Eh Hawa Kushboo Lekar Aana Unki,
Nahi Chalega Ab Koi Bahana Aapka,

Maloom Hai Aapko Aadat Hai Mujhe Aapki,
Kyonki Main Hoon Jaana Pahchana Aapka,

Haan Bhigo De Use Mere Pyar Ke Rang Se,
Sukha Pada Hai Jo Aashiyana Aapka,

Yeh Mausm Bhi Hai Deewana Aapka,
Eh Sanam Inayat Aapki Bahana Aapka…

Hindi Love Letters Shayari

Jo Aati Thi Kabi Mere Naam Chitthhiyan,
Hum Aaj Bhi Padhte Hai Woh Gumnaam Chitthhiyan,

Sarhadon Ke Paar Gaye, Dil Ke Woh Tukde Eh Sanam,
Bas Reh Gayi Ab Toh Ban Ke Salaam Chitthhyan,

Dhime-Dhime Kadamon Se Aati Thi Woh,
Roz Nahi Aayi Magar Be-imaan Chitthhiyan,

Mere Sath Rahi Hamesha Khamoshiyan,
Shirf Likhta Gaya Haal-E-Tamaam Chitthhiyan,

Jab Bhi Meri Pyaas Baaki Reh Jaati Hai,
Peeta Hun Ab Main Banaakar Zaam Chitthhiyan,

Katra-Katra Bikhra Hua Hai Zameen Par,
Samet Loo Eh Sanam Tera Yeh Pyar Chitthhiyan…

Tadap – Hindi Pyaribhari Shayari

Mere Sajna Saawan Mein Aana Tum,
Is Baras Na Mujhko Tarsana Tum,

Jab Se Kiya Hai Tumne Prem Nivedan,
Kaampta Hai Mera Koman Tan Aur Man,

Aankhon Mein Sajan Tasveer Tumhari,
Samarpan Ko Aatur Har Ang Partyang,

Aalingan Kar Parem Barsana Tum,
Mere Sajna Saawan Mein Aana Tum,

Mujhe Kali Se Phool Banana Tum,
Seene Se Apne Mujhe Lagana Tum,

Mere Sajna Saawan Mein Aana Tum,
Is Baras Na Mujhe Tarsana Tum,

Jab Aanchal Shabab Ka Lahraye,
Aur Neend Aankhon Se Udd Jaaye,

Meri Yaad Mein Aansu Bhar Aaye,
Aur Tanhai Dil Ko Bahut Tadpaaye,

Tum Khat Likhna Main Chala Aaunga
Haan Tumhari Kasam Main Chala Aaunga…

Dil Mein Utar Gaya Suraj

Mere Dil Mein Utar Gaya Suraj
Andhere Mein Nikhar Gaya Suraj

Shiksha Dekar Humein Ujaale Ki
Khud Andhere Ke Ghar Gya Suraj

Humse Wada Tha Ik Savere Ka
Haaye Kaisa Mukar Gaya Suraj

Chaandni Aks, Chand Aaina
Aaine Mein Sanvar Gaya Suraj

Doobte Waqt Zard* Tha Itna
Log Samjhe Ki Mar Gaya Suraj…

– Javed Akhtar

*Zard = Yellow, Peela.

Kalyung Mein Ladki Ki Haalat

Chehre Ko Dupatte Se Dhak Kar Nikalti Hai
Ghabarai Hui Si Galiyon Se Wo Gujarti Hai
Halki See Aahat Pe Hi Wo Darti Hai
Kalyug Me Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai

Ajnabiyon Se Baat Karne Se Darti Hai
Duniya Se Najar Chura-Chura Kar Nikalti Hai
Samaj Ke Reevajon Ki Aag Mein Jalti Hai
Kalyug Me Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai

Andhera Hone Se Pehle Ghar Pahunchti Hai
Ghar Ki Char Deewari Mein Qaid Rehti Hai
Ladki Bojh Hone Ka Samaaj Se Taana Sehti Hai
Kalyug Mein Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai

Chand Daamo Mein Jism Farosho Se Bikti Hai
Janam Lene Se Pehle Hee Marti Hai
Apne Sapne Chhod Dusron Ke Sapne Jeeti Hai
Kalyug Me Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai…

– Aprachit