Kalyung Mein Ladki Ki Haalat

Chehre Ko Dupatte Se Dhak Kar Nikalti Hai
Ghabarai Hui Si Galiyon Se Wo Gujarti Hai
Halki See Aahat Pe Hi Wo Darti Hai
Kalyug Me Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai

Ajnabiyon Se Baat Karne Se Darti Hai
Duniya Se Najar Chura-Chura Kar Nikalti Hai
Samaj Ke Reevajon Ki Aag Mein Jalti Hai
Kalyug Me Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai

Andhera Hone Se Pehle Ghar Pahunchti Hai
Ghar Ki Char Deewari Mein Qaid Rehti Hai
Ladki Bojh Hone Ka Samaaj Se Taana Sehti Hai
Kalyug Mein Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai

Chand Daamo Mein Jism Farosho Se Bikti Hai
Janam Lene Se Pehle Hee Marti Hai
Apne Sapne Chhod Dusron Ke Sapne Jeeti Hai
Kalyug Me Ladki Ki Kya Haalat Kar Di Hai…

– Aprachit