Dard Shayari

Dard Ke Phool

Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jaate Hain
Zakham Kaise Bhi Hon Kuch Roz Mein Bhar Jaate Hain

Raasta Roke Khadi Hai Yahi Uljhan Kab Se
Koi Puchhe To Kahein Kya Ki Kidhar Jana Hai

Chhat Ki Kadiyon Se Utarate Hain Mere Khwab Magar
Meri Deewaron Se Takraa Kar Bikhar Jaate Hain

Narm Alfaaz, Bhali Baatein, Muhzzab Lehje,
Pehli Barish Hi Mein Ye Rang Utar Jaate Hain

Us Khidki Mein Bhi Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi
Sir Jhukaye Huye ChupChaap Guzr Jaate Hain…

– Javed Akhtar

Chiraag Ki Lo

Har Ik Chiraag Ki Lo Aisi Soyi-Soyi Thi
Voh Shaam Jaise Kisi Se Bichhad Ke Royi Thi

Naha Gaya Tha Main Kal Jugnuo Ki Baarish Mein
Voh Mere Kaandhe Pe Sar Rakh ke Khoob Royi Thi

Kadam-Kadam Pe Lahoo Ke Nishan Kaise Hain
Ye Sarjami To Mere Aansuon Ne Dhoyi Thi

Makaan Ke Saath Voh Podha Bhi Jal Gaya Jisme
Mehkate Phool The Phoolon Me Ek Titli Thi

Khood Uske Baap Ne Pehchaan Kar Na Pehchana
Voh Ladki Pichhle Fasadaat Me Jo Khoyi Thi…

– Bashir Badr

Dard Ab Sambhlata Nahi

Dard Ab Itna Ki Sambhlata Nahi Hai
Tera Dil Mere Dil Se Milta Nahi Hai
Ab Aur Kis Tarah Pukaroon Main Tumhe
Tera Dil To Mere Dil Ki Sunta Bhi Nahi Hai…

– Neelam