Dard Shayari

Shikwa Aur Shikayat Shayari

Shikwa Shayari Shikayat Shayari Gussa-Shayari

Ja Chhod Diya Tujhe
Koi Hisaab-E-Ishq Nahi Maangte,

Shikwa Nahi, Shikayat Nahi, Koi Gussa Nahi,
Ja Hum Tujhe Ab Aur Nahi Jaante…

– Mubasshir

Bewafa Dard Shayari Sad

Bewafa Dard Shayari Sad

Udasi Se Dil Ka Nata Jod Diya Hai
Zindagi Ki Taraf Humne Rukh Mod Liya Hai

Yun Chonkati Nigaahon Se Na Dekh Bewafa
Tere Dard Ka Har Bandhan Tod Diya Hai

Bewafa Tu Nahi Tab Waqt Ho Gya Tha
Izhar Ka Faisla Sakhat Ho Gya Tha

Sannaton Se Darkar Hawayein Shor Karne Lagi
Is Tofaan Se Bebas Zubaan Ka Takht Ho Gya Tha

Kash Voh Lafz Tab Jehan Mein Hi Rehte
Kash Ik Dil Ke Veham Mein Hi Rehte

To Khilti Na Bahare Shayari Ki Fir Yaha
Ikraar Jo Man Ki Lagan Mein Hi Rehte…

– Gaurangi

Udas Zindagi Poetry

Udas Zindagi Poetry

Udas Zindagi Poetry

Dard-E-Dil Ki Dawa Chahta Hun,
Tanhai Mein Asq Bahana Chahta Hun,

Sukoon Milta Hai Zamaane Ko,
Jab Mehfil Mein Shayari Sunata Hun,

Hosh Jab Aata Hai Mujhe, Ae Khuda!
Khud Main Behosh Hona Chahta Hun,

Zindagi Se To Maut Behtar Hai,
Tujhe Zindagi Lautana Chahta Hun…

Aitbaar Nahi Shayari

Mujhe Kisi Ki Wafaon Pe Eitbaar Nahi,
Jab Se Tu Mere Kareeb Mere Dildar Nahi,

Eh Sanam Dil Ko Mere Kisi Pal Karar Nahi,
Roo-B-Roo Mere, Bichhda Mera Yaar Nahi,

Meri Kahani Dukh-Dard, Udasi Mein Doobi Hai,
Meri Zindagi Mein Shamil Jab Se Tera Pyar Nahi…

Dil Itna Akela

Dil Itna Akela – Very Sad Shayari Heart Touching

Tha Bahut Dil Mein Magar Kaha Kuch Bhi Nahi,
Dabi Aag Fir Jal Gayi Dhuan Uttha Bhi Nahi,

Dil Chhup-Chhup Kar Karta Hai Baatein Teri,
Eh Sanam Apna Dil Itna Akela Bhi Nahi,

Jharokhe Se Dekhta Raha Usko, Eh Khuda!
Kab Simte Zindagi Bharosa Bhi Nahi,

Zara Adab Se Baatein Kiya Karo,
Bahut Kehne Par Kabhi Woh Samjha Bhi Nahi,

Uske Diye Zakhamo Ka Dard Bada Gehra Tha,
Abhi Tak Un Zakhamo Ko Kisi Ne Seeya Bhi Nahi,

Uske Jaane Ke Baad Sab Kuch Mila Mujhe,
Par Uske Bina Zindagi Ko Jeeya Bhi Nahi…

Mera Naseeb Dard Shayari

Milkar Kho Jana Mera Naseeb Tha,
Wah, Yeh Dard Bhi Kitna Ajeeb Tha,

Mila Nahi Use Ek Ghar Kahi,
Footpath Par Soya Naseeb Tha,

Ta-Umar Dhundta Raha Usko,
Raahon Mein Mera Woh Naseeb Tha,

Mushkil Se Paya Hai Raasta,
Ki Bheed Mein Chalna Ajeeb Tha,

Kaash Thahr Jaati Yeh Lehrein Eh Khuda,
Kyonki Milne Wala Mera Habeeb Tha,

Milkar Kho Jana Mera Naseeb Tha,
Wah, Yeh Dard Bhi Kuch Ajeeb Tha…

Tute Dil Ka Dard Shayari

Chot Khana Tute Dil Na Kaheen,
Dard Reh Jaayega Kaheen Na Kaheen,

Hai Dushman Bhari Huyi Zindagi Eh Sanam,
Aasmaan Par Hogi Zameen Na Kaheen,

Tum Loge Pyar Mein Imtehan Kabhi,
Aaye Hamein Is Jhuthh Par Yakeen Na Kaheen,

Maut Usi Ki Chokhat Pe Ho Eh Khuda,
Sazda Sirf Uske Siwa Ho Na Kaheen,

Aapki Guftagoo Ka Kya Kahna Eh Sanam,
Char Baatein Hain Dilnashi, Yeh Aur Na Kaheen,

Chot Khana Tute Dil Na Kaheen,
Dard Rah Jaayaga Kaheen Na Kaheen…

Tumhara ishq bhi sharab ki tarah hai
Thoda sa chakh kya liya aadat kharab ho gyi….

Dard Bhari Shayari in Hindi

बातें तो हर कोई समझ लेता है..!
पर मुझे वो इन्सान चाहिए जो मेरी खामोशियो को समझे…!!

Ishq Mein Dil Ne

Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna,
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna,

Main Uthhta Hun Sahare Ke Liye Uske,
Reh Na Gaya Ho Raah Mein, Kaheen Dard Apna,

Khaakh Kis-Kis Ki Khuda Jaane Huyi Eh Daman Wale,
Tune Chalte Huye Daman Na Sambhala Apna,

Dil Chhune Wale Do Labaz Hi Likhe The Usne,
Kaam-Kaaz Sab Ulat Pher Ho Gaya Apna,

Hain Bure Haal, Ki Sab Dekhne Waale Hain,
Koi Duniya Mein Nahi Haal Puchhne Wala Apna,

Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna,
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna…

Dard-E-Dil – Broken Heart

Ab Hum Kisi Ki Tamanna Na Karenge,
Ab Raah Kisi Ki Bhi Na Dekha Karenge,

Mere Dard Se Wakif Na Ho Jaaye Tera Saya,
Ab Is Andhere Kamre Mein Ujala Na Karenge,

Kyon Jhanke Khidkiyon Se Kyon Dar Pe Khade Ho,
Hum, Dard-E-Dil Ko Bayaan Na Karenge,

Tadpaya Rulaya Hai, Woh Jab Bhi Mile Hain,
Ab Paigam Bhi Aaye Toh Jaya Na Karenge,

Muddat Se Rakkhi Hai Takiye Ke Neeche Mere,
Teri Us Tasveer Se Dil Bahlaya Na Karenge,

Aankhe Jali, Rooh Jali, Dil Jala, Zism Jala,
Diya Umeed Ka Palkon Par Jalaya Na Karenge…

Hindi Love Letters Shayari

Jo Aati Thi Kabi Mere Naam Chitthhiyan,
Hum Aaj Bhi Padhte Hai Woh Gumnaam Chitthhiyan,

Sarhadon Ke Paar Gaye, Dil Ke Woh Tukde Eh Sanam,
Bas Reh Gayi Ab Toh Ban Ke Salaam Chitthhyan,

Dhime-Dhime Kadamon Se Aati Thi Woh,
Roz Nahi Aayi Magar Be-imaan Chitthhiyan,

Mere Sath Rahi Hamesha Khamoshiyan,
Shirf Likhta Gaya Haal-E-Tamaam Chitthhiyan,

Jab Bhi Meri Pyaas Baaki Reh Jaati Hai,
Peeta Hun Ab Main Banaakar Zaam Chitthhiyan,

Katra-Katra Bikhra Hua Hai Zameen Par,
Samet Loo Eh Sanam Tera Yeh Pyar Chitthhiyan…