Dard Shayari

Dard Ke Nishaan Shayari

Hanste Huye Zakhmo Ko Bhulane Lage Hain Hum,
Har Dard Ke Nishaan Mitaane Lage Hain Hum;
Ab Aur Koi Zulm Satayega Kya Bhala,
Zulm-O-Sitam Ko Toh Ab Satane Lage Hain Hum!

Tanha Dard Shayari

Aagosh-e-Sitam Mein Chhupa Le Koi,
Tanha Hun Tadapne Se Bacha Le Koi;
Sookhi Hain Badi Der Se Palkon Ki Zubaan,
Bas Aaj Toh Jee Bhar Ke Rula De Koi!

Aansu Ka Dard Shayari

वो पानी की बूँद थी जो आँख से बही थी,
आंसू तो वो था,
जो आखों में रुक गया, उसने बस तड़प सही थी।


Voh Paani Ki Boond Thi Jo Aankh Se Bahi Thi
Aansu To Voh Tha,
Jo Aakhon Mein Ruk Gya, Usne Bas Tadap Sahi Thi …

Kasak Dard Shayari on Love

ये कसक दिल की दिल में चुभी रह गई
मेरी ज़िंदगी में तुम्हारी कमी रह गई

एक मैं, एक तुम और एक दीवार थी बीच में
अपनी ज़िंदगी आधी-आधी बँटी रह गई

Dil Kisi Pe Nisaar Shayari

Dil Kisi Pe Nisaar Kar Betha Hoon
Sukoon Dil Se Juda Kar Betha Hoon

Ab Din Raat Yehi Sochta Hoon
Main Yeh Kya Khata Kar Betha Hoon

Kaanch Ki Tarah Jab Dil Toota
Dard Ke Maare Aah Kar Betha Hoon

Usey Aik Nazar Dekhne Ki Khatir
Raah Mein Nazrein Bichha Kar Betha Hoon

Usey Apne Pyar Ki Arzi De Di Hai
Ab Uske Ghar Ke Samne Aa Kar Betha Hoon …

– M.Asghar Mirpuri

Gham Shayari on Dukhi Zindagi

Kuch Iss Tarah Ki Apni Zindagi Hai
Dil Mein Gham Aankhon Mein Nami Hai

Jab Tak Tera Dard Mere Sath Hai
Tab Tak Mujhey Kis Baat Ki Kami Hai

Khushi Ke Sath Gham Bhi Milte Hain
Haqeeqat Mein Issi Ka Naam Zindagi Hai

Mein Kaise Tujhey Dil Se Juda Kar Doon
Jane-Mann Tu Mere Saanson Mein Basi Hai

Tu Bhi Dukhi Hai Asghr Bhi Dukhi Hai
Raqeebon Ko Issi Baat Ki Khushi Hai

– M.Asghar Mirpuri

Anjaan Sa Ek Dard Shayari

Kyo Anjaan Sa Ek Dard Andar Se Jata Nahi
Kyo Sona Chahu Fir Bhi Man Neend Tak Pohunch Pata Nahi

Kyo Khwab Dekhne Ki Lagan Hai, Par Pure Ho Pate Nahi
Waqt Ye Insaaf To Nahi, Fir Bhi Kyo Waqt Se Hum Khilaf Nahi

Kyo Dar Hai Kuch Khone Ka, Jab Ki Kuch Paya Nahi
Chalte Bohot Hain Manzil Pane Ko, Rasta Khatam Ho Kar Bhi Kyo Kuch Haashil Nahi

Hans Loon Kabhi Hadd Se Jyada To, Kyo Dar Lagata Hai Fir Kahi Rona To Nahi
Kyo Yaado Ka Sahara Acha Lagta Hai, Kyo Hakiqat Me Jina Nahi

– Jashika

Meri Udasi Ka Sabab Shayari

Sad in Love

Kyon Khamosh Hain Mere Lab Na Puchho,
Mujh Se Meri Udasi Ka Sabab Na Puchho,

Teri Furqat Mein, Main Kaise Jeeta Raha,
Yeh Baat Mujh Se Ab Na Puchho,

Pyar Mera Deen, Mohabbat Mera Dharam,
Mohabat Karne Walon Ka Mazhab Na Puchho,

Teri Yaad Mein Rote Sahr Ho Jaati Hai,
Kaise Guzarti Hai Meri Shab Na Puchho…

– M.Asghar Mirpuri

Shikwa Aur Shikayat Shayari

Shikwa Shayari Shikayat Shayari Gussa-Shayari

Ja Chhod Diya Tujhe
Koi Hisaab-E-Ishq Nahi Maangte,

Shikwa Nahi, Shikayat Nahi, Koi Gussa Nahi,
Ja Hum Tujhe Ab Aur Nahi Jaante…

– Mubasshir

Bewafa Dard Shayari Sad

Bewafa Dard Shayari Sad

Udasi Se Dil Ka Nata Jod Diya Hai
Zindagi Ki Taraf Humne Rukh Mod Liya Hai

Yun Chonkati Nigaahon Se Na Dekh Bewafa
Tere Dard Ka Har Bandhan Tod Diya Hai

Bewafa Tu Nahi Tab Waqt Ho Gya Tha
Izhar Ka Faisla Sakhat Ho Gya Tha

Sannaton Se Darkar Hawayein Shor Karne Lagi
Is Tofaan Se Bebas Zubaan Ka Takht Ho Gya Tha

Kash Voh Lafz Tab Jehan Mein Hi Rehte
Kash Ik Dil Ke Veham Mein Hi Rehte

To Khilti Na Bahare Shayari Ki Fir Yaha
Ikraar Jo Man Ki Lagan Mein Hi Rehte…

– Gaurangi

Udas Zindagi Poetry

Udas Zindagi Poetry

Udas Zindagi Poetry

Dard-E-Dil Ki Dawa Chahta Hun,
Tanhai Mein Asq Bahana Chahta Hun,

Sukoon Milta Hai Zamaane Ko,
Jab Mehfil Mein Shayari Sunata Hun,

Hosh Jab Aata Hai Mujhe, Ae Khuda!
Khud Main Behosh Hona Chahta Hun,

Zindagi Se To Maut Behtar Hai,
Tujhe Zindagi Lautana Chahta Hun…

Aitbaar Nahi Shayari

Mujhe Kisi Ki Wafaon Pe Eitbaar Nahi,
Jab Se Tu Mere Kareeb Mere Dildar Nahi,

Eh Sanam Dil Ko Mere Kisi Pal Karar Nahi,
Roo-B-Roo Mere, Bichhda Mera Yaar Nahi,

Meri Kahani Dukh-Dard, Udasi Mein Doobi Hai,
Meri Zindagi Mein Shamil Jab Se Tera Pyar Nahi…