Urdu Shayari
Urdu Romantic Shayari for Lovers
Jab Se Uske Husan Pe Padi Hai Nazar
Main Ho Gya Hoon Apni Hasti Se Bekhabar
Meri Duaon Ka Kuch Aisa Hua Hai Asr
Mujhey Mil Gya Hai Mere Khawabon Ka Pekar
Uske Pyar Ne Mujhe Zare Se Aaftab Bana Diya
Main Ban Gya Hoon Qatre Se Samundar
Mere Jism Mein Wo Basi Hai Rooh Ki Tarah
Aisa Ashyana Chhod Kar Wo Jaye Gi Kidhar
Pyar Ki Raahon Mein Sambhal Kar Chalta Hoon
Suna Hai Yeh Raaste Hein Bade Purkhatar
– M.Asghar Mirpuri
- Romantic Shayari, Urdu Shayari
- Share:
Sad Shayari on Aansu
Mujh Se Kinara Kar Ke, Kuch Pal Toh Us Ne, Apni Ankhon Ko Dhoya Hoga
Baith Ke Kisi Kone Me Sar-E-Shaam Kuch Aansu Toh Wo Roya Hoga
Peshemaan Toh Wo Boht Hua Hoga Apni He Berukhi Se
Khaab Me Na Sahi, Neend Se Pehle Meri Yaad K Baad Hi Wo Soya Hoga
Ahbab K Qarb Me Maine Yahi Aik Baat Seekhi Hai
Us Ne Bhi Kisi Tareeqi Ke Kone Main Apne Aansu Ko Peeroya Hoga
Mera Dil Nhi Dukha Par Main Hazaar Aansu Roya
Meri Manind Na Sahi, Par Fursat Me Qaraar Toh Wo Khoya Hoga
Mere Dard-E-Dil Ko Koi Samjtaa, Toh Phir Kisi Ko Gila Na Rehta Harf.E.Muhabbat Se
Mse Kia Maloom, Maine Kis Kis Samandar Main Khud Dooboya Hoga
Main Apne Fan-E-Naqsh-E-Nigari K Charchy Kyun Karon, Kyun Sunaau Main Apne Afsaany Sb Ko,
Mujhe Maloom Hai Wo Kisi Aur Ka Ho K Bhi Mere He Khayalon Main Khoya Hoga.
– Vicky Khokhar
- Sad Shayari, Urdu Shayari
- Share:
Meri Aarzoo Sad Love Shayari
Aik Muddat Se Rahi Hai Yeh Aarzoo Meri
Ke Kab Tujh Se Ho Gi Guftgoo Meri
Aaj Duniya Humein Milne Nahi Deti
Aik Din Mohabbat Ho Gi Sarkhroo Meri
Mera Jeena Aur Marna Sab Tere Liye
Saansoon Ki Bhi Mukhtaar Hai Tu Meri
Dil Tere Hi Khyalon Mein Khoya Hai
Rooh Bhatak Rahi Koobakoo Meri
Main Khizaaon Ki Rahon Ka Musafir Hoon
Kabhi Bhool Kar Bhi Na Karna Jastjoo Meri
– M.Asghar Mirpuri
- Sad Shayari, Urdu Shayari
- Share:
Udas Mohabbat Shayari in Urdu
Agar Tujhey Nafrat Mere Naam Se Hai
Phir Kyon Mohabbat Mere Klaam Se Hai
Jis Ka Mashgla Tha Auron Ko Dukh Dena
Aaj Wo Udas Ghamon Ki Shaam Se Hai
Mohabbat Mein Kisi Tafreeq Ke Hum Nahi Qaabil
Humein To Mohabat Khaas-O-Aam Se Hai
Jis Ki Deed Ko Aankhein Tarash Rahi Hain
Usey Na Fursat Apne Kaam Se Hai
Hum Ne Mohabbat Ka Agaaz To Kar Diya Asghar
Hume Na Koi Garaz Anjaam Se Hai
– M.Asghar Mirpuri
- Love Shayari, Mohabbat Shayari, Urdu Shayari
- Share:
Mulaqat Shayari in Urdu
Kabhi Teri Meri Mulaqat Ho,
Na Tootne Wala Sath Ho,
Tere Sath Zindagi Guzre,
Musarton Bhari Hyat Ho…
– M.Asghar Mirpuri
- Dosti Shayari, Urdu Shayari
- Share:
Teri Zindagi Mein Shayari
Teri Zindagi Mein Kabhi Koi Na Gham Aaye
Tere Muqadar Mein Har Khushi Sanam Aaye
Teri Aarzoo Ka Chaman Sda Mehkta Rahe
Tere Qareeb Na Kabhi Koi Ranj-O-Aalm Aaye
Teri Zindagi Duniya Ki Khushion Se Bhri Rahe
Ghamo Ki Na Kabhi Koi Shaam Aaye
Koi Pareshani Tere Qareeb Na Aane Paye
Teri Zindagi Mein Koi Na Paich-O-Kham Aaye
Asghar Ki Faqat Yehi Tamanna Hai Jana
Ke Tere Sath Mera Bhi Naam, Aaye…
– M. Asghar Mirpuri
Tere Bagair Zindagi Shayari
Aankh Ashqon Se Khoonbaar Hui Jaati Hai
Zindagi Baes-E-Aazaar Hui Jaati Hai
Hamara Milna Bhi Ab Khawab Lagta Hai
Hamaare Darmiyaan Judai Deewar Hui Jaati Hai
Na Jaane Vasal Ki Shab Kab Aaye Gi
Ab To Saans Bhi Dashwaar Hui Jaati Hai
Main Isey Kaise Zindagi Keh Doon
Jo Basar Tere Bagair Hui Jaati Hai…
– M. Asghar Mirpuri
- Judai Shayari, Urdu Shayari, Zindagi Shayari
- Share:
Lovely Urdu Shayari on Eyes
Cute Lovely Urdu Shayari on Eyes
Chhalak Raha Hai Kya Aankhon Ke Raste,
Machal Raha Hai Jiya Aankhon Ke Raste,
Beshak Nazrein Khafa Ho Gayi Hamse,
Pyar Tumne Kiya Aankhon Ke Raste,
Barsat Mein Aalam Kuchh Aur Hota Hai,
Bahti Hai Hawa Aankhon Ke Raste,
Zinda Hai Sapne Bezaan Aankon Mein,
Kitna Pyar Kiya Tumne Aankhon Ke Raste,
Meri Tadap Ka Khayal Bhi Na Raha Unko,
Unki Mahak Aayi Mujhko Aankhon Ke Raaste,
Pyar, Wafa, Ishq, Armaan Eh Khuda,
Sabhi Kuchh Seekha Unse Aankhon Ke Raste…
- Love Shayari, Pyar Shayari, Urdu Shayari
- Share:
Pyar Mein Betaab Dil
Maayus Dil Mein, Dil-E-Nakaam Ho Gaya,
Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya,
Main Har Tarah Se Doshi Ho Gaya,
Galati Ki Kisi Aur Ne, Naam Mera Ho Gaya,
Is Tashanagi Ki Aag, Usi Se Bujhi,
Main Paani Peete-Peete, Sharabi Ho Gaya,
Aashiq Ki Kamzori Ki Kuchh Intehaan Nahi,
Gaya Wahan Jahan Is Jeewan Ka Islaam Ho Gaya,
Dil Mera Bataab Hai Uske Pyar Ke Liye,
Aankhen Pyala Ho Gayi Dil Jaam Ho Gaya,
Rahta Hai Apna Mukaddar Bhi Apne Saath,
Wahan Bhi Pyar Ke Maaron Mein Shamil Ho Gaya,
Duniya Mein Har Mash-hoor Aadmi Paise Ka Gulam Hai,
Lekin Woh Toh Aapka Gulam Ho Gaya,
Maayush Dil Mein Dil-E-Nakaam Ho Gaya,
Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya…
Gunaah Tarze-Nigaah
Gine Huye Kadam Inhraaf Kya Hote
Gunaah Tarze-Nigaah Tha, Maaf Kya Hota
Jhuki Hui Meir Aakhein, Sile Huye Mere Lab
Ab Is Se Badh Kar Tera Etraaf Kya Hota
Khud Apni Vehshate-Jaan Se Wafa Na Ki Hum Ne
Zamana Aur Humare Khilaaf Kya Hota
Diye To Ab Bhi Diye Hain Vo Bazm Ho Ki Harm
Bhujhe Huye Dilon-Jaan Se Tavaaf Kya Hota
Sitara Tha Bhi To Aansu Ki Istaara Tha
Kisi Falak Ka Yahan Inkishaf Kya Hota
Vahi Gubaare-Tammana, Vahi Shamime Dua
Tu Rozo Shab Mein Mere Ikhtilaaf Kya Hota…
– Parveen Shakir
- Dard Shayari, Sad Shayari, Urdu Shayari
- Share: