2 Line Shayari on Life – Javed Akhtar

Un Chiraagon Mein Tel Hi Kam Tha
Kyon Gila Fir Humein Hawa Se Rahe

Meri Buniyaadon Mein Koi Tedh Thi
Apni Deewaron Ko Kya Ilzaam Doon

Voh Nehar Ek Kissa Hai Duniya Ke Vaaste
Ferhaad Ne Taraasha Tha Khud Ko Chattaan Per

Thakaan Se Choor Paas Aaya Tha Iske
Gira Sote Mein Mujh Per Ye Shajar Kyon?

Ek Khilona Jogi Se Kho Gya That Bachpan Mein
Dhundhta Fira Vo Nagar-Nagar Tanha

Raat Sar Per Hai Aur Safar Baaki
Humko Chalna Zara Savere Tha

Sab Hawayein Le Gaya Mere Samander Ki Koi
Aur Mujhko Ek Kashti Baadbaani De Gaya

Pehle Bhi Kuch Logon Ne Joun Bo Kar Genhoo Chaha Tha
Hum Bhi Umeed Mein Hain Lekin Kab Aisa Hota Hai

Ai Safar Itna Bekaar To Na Ja
Na Ho Manzil, Kahin To Pahuncha De

Kam Se Kam Usko Dekh Lete The
Ab Ke Sailaab Mein Vo Pull Bhi Gya

Aaj Ki Duniya Mein Jeene Ka Kareena Samjho
Jo Mile Pyar Se Un Logo Ko Zeena (Ladder) Samjho

Gali Mein Shor Tha Matam Tha Aur Hota Kya
Main Ghar Mein Tha Magar Is Gul Mein Koi Sota Kya

Is Shehar Mein Jeene Ke Andaaz Niraale Hain
Hontho Pe Lateefe Hai Aawaz Mein Chhaale Hain

Apni Vajahe-Barbaadi Suniye To Maje Ki Hai
Zindagi Se Yoon Khele Jaise Dusre Ki Hai

Sab Ka Khushi Se Faasla Ek Kadam Hai
Har Ghar Mein Bas Ek Hi Kamra Kam Hai

Humko Uthna To Munh Andhere Tha
Lekin Ik Khwab Humko Ghere Tha

Khush-Shakal Bhi Hai Vo, Ye Alag Baat Hai, Magar
Humko Jaheen Log Hamesha Ajeej The

Kaun Sa Sher Sunayun Main Tumhe, Sochta Hun
Nya Uljha Hai Bahut Aur Purana Mushkil

Gin-Gin Ke Sikke Hath Mera Khurdura Hua
Jaati Rhi Vo Spars Ki Narmi, Bura Hua.

Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Gya
Kuch Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gye.

– Javed Akhtar